chapter 8

762 22 8
                                    

Asfi agar mein aap ko yakeen diloun ke wo maan jayengi tou?
Dr. Zubiya aisa lagta hai ke aap sath hoon gi tou mere aor mere family ki saari uljhanin ( problems) sulajh (solve) jayen gi..

Wo mukuraye thi..
Asfandyar utha tha uss ki god se, uss ne maatha chooma tha uss ka...
Aap please ye heavy dress change kar lain..
Thak gayee hongi..

Jee...

(Morning)
9:15 ||
Breakfast table||

Asfi beta, tum log honeymoon plan kar rahay ho yaa nahin?
Kioun nahin ammi...
Aunty ye jagah hi itni khubsurat hai, kahin aor Jane ki kiya zaroorat hai..?
Zubiya ne kaha.

Dekha ammi ye jana hi nahin chahti..
Asfandyar ghussay aor shararti andaz mein bola tha..

Aray beta ye jagah bhi khoobsurat hai, par issay tou Roz dekhtay ho..
Kuch naya dekho...

Zubiya muskuraye thi...
(Silence)

(Asfiya room)
10:30
Dr. Zubiya kiya aap changez khan ke sath outing pe  jaiengi?

Changez khan?... Par mein kisi changez khan ko nahin janti...
Array wohi dr. Asfandyar jisko aap ne changez Khan ka naam diya tha..
Uss ne shararti andaaz mein kaha...

Wo shayad guilty feel karke neeche sir jhuka gayee thi..
Wo utha tha aor zubiya ke paas jakar uss ka haath pakra tha..
Ab aap tayaar ho jayiee. Ham log bahir chaltay hain...
Aor wo ussay chor ke kamray se chala gaya tha...

(Outdoor)

Wesay tu zubiya ye jagah rozana dekhti thi , par aaj wo jagah had se bhi ziyada khubsurat dikhayee de rahi thi..
Wo sabz rang aankhon ko kashsih de raha tha...

Wo khud ko bohut mehfooz mehsoos kar rahi thi..

Saamnay behta hua chashma,
Aor uss ke paas betha uss ka hamsafar.
Dono cheezain bohut khoobsurat thin...

Wo apnay maazi ko yaad kar rahi thi..
Na jany kaise uss ki ankhain Nam ho gaien thin..

Tabhi khamoshi ko barhta hua mehsoos karke asfandyar ne uss ki taraf dekha,tou uss ki  ankhon main wo nami nazar ayee..
Wohan par ird gird (Surrounding) mein koi nahin tha ,sirf khamoshi aor khubsurti thi..

Uss ne dheemi si awaz mein bola "Zubiya"
Tabhi zubiya mutwajah hui..

Asfandyar ne uss ke kandhay par hath rakha..
Tabhi zubiya ne apna sar uss ke seene par rakha tha..

Uss ne apnay hathon se uss ko sehlaya tha...

Asfandyar ne uss se nahin poocha ke wo nami Ku hai..?
Wo janta tha..haan wo janta tha..

Asfandyar ne uss ke sar ko chooma tha..

Dr. Zubiya kia khayal ha? Ghar chalain?
Uss ne abhi tak apna sar uss ke seene par rakha hua tha..

Wo muskurai thi iss baat pe..
Uss ne apna sar utha kar dekha tha uss ko..

Asfandyar utha tha, uss ne apna hath barhaya tha zubiya ki taraf uss ko sahara Dene ke liye..

( At home )

✆ phone rung
Hello!
Okay okay mein aa raha hoon.
Asfandyar tezi se bola..
(Asfandyar,gaite aor zubiya lounge mein bethay thay..)
Asfandyar utha tha..
Asfi kahan jaa rahay hain sab theek tou hai na?
Haan.. Haan sab theek ha actually hospital mein Dr. Asfa aor Dr. Haroon nahi aye tou emergency mein aik patient aya hai..
Tou mujhay Jana hoga.
Mein chalun?
Nahi zubiya tum yahin rukoo!
( Asfi gone)
Gaite bhabi aaj saim school nahin gaya?
Nahin zubiya ussay temperature tha, wo so raha ha..
Acha aap se aik sawal poochun?
Haan..pocho!
aap ko Dr. Haroon kaise lagtay Hain?
Gaite hairaan Hui thi uss ke isss sawal par..

Zubiya mei..mein...nahi janti..

Acha chalain jo mein janti aap ko wohi bata deti hun..

Dr. Haroon bohut achay insaan hain..
Aor sab se bari baat ye hai ke unn ka sense of humor bohut acha hai aor pata ha hospital mein ronaq unhi ki
Wajah se hoti ha..

Hmmm..lekin zubiya tum ye saari batain mujhay ku bata rahi ho?

Isss bat ko chorain aor aap ko pata ha saim unn ke sath bohut khush rehta hai aor bohut frank ha...

Haan, Haan wo tou mein ne dekha hai, har waqt mere samnay Haroon uncle, haroon uncle kehta rehta ha..

Bass..phir theek hai na?!
Zubiya ne kaha.

Kia..kia? Theek hai?





Journey Of Trust ✔Where stories live. Discover now