Apni khushi ka zikr karte hai
Pata nahi log itni kyu fikar karte hai
Dukh khuredne ki shayad aadat hai unhe
Baar baar unhi baato ka zikr karte hai.Kaisa tamasha laga rakha hai logon ne
Na zakhm bharne dete hai
Na chup chap marne dete hai.
Kehte hai seh lo kuch din ki baat hai,
Har pal kimti hai phir yeh kyu kehte hai.Har pal kimti hai agar
Toh kyu sahu main
Zakhmo se lahu kyun behne du main.
Maut aaye ek waqt main toh sukoon hai
Har pal bewaqt kyu maru main.Aayenge phir yahi log samjhane,
Khud pe aati hai toh har sala bhul jate hai
Ek ek aansu ka mazak udaane wale
Jab khud mazak ban jaaye toh kyu rote hai.
-ZahrahSakhib
आप पढ़ रहे हैं
Hindi Poems ( Dil ka haal )
PoetryBaatein kuch aisi dil main ghar kar gayi, Aansu aur hasi main jaise koi fark hi na ho, Jab sabne kaha tum chup raho, Humne apni baaton ko kaagazo par utaar diya... Read, Like and please do comment 😊