Ek shikayat

118 9 2
                                    

Dil main ab woh baat nahi
Mujhko pehli si muhabbat nahi,
Yu mausam ki tarah baldalte ho tum,
Ki shikayat toh hai par shikayat nahi.

Shikayat toh khudse hai
Ki baar baar tum par yakeen kar lete hai
Dil se chahna hamari adaa hai
Tum na samjho toh koi baat nahi.

Baaton baaton main aaj kehte ho
Kal haqeeqat ho jaye toh kya hai
Tutte hue ko aur kitna todoge,
Aisi bhi kya wajah hai.

Kehte ho pyar ka matlab nahi samjhte,
Samjhkar bhi kya kar lete,
Har kisi se yu dil laga lena,
Tumhari aadat hai, humari saza hai

Ab bas kar bhi do yeh koshish
Kal phir wahi dohraoge,
Hume todd kar iss tarah,
Sochte ho sab kuch paaloge.

-ZahrahSakhib

Hindi Poems ( Dil ka haal ) जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें