Jo guzaari na jaa saki mujhse
Maine woh zindagi guzari hai
Intezar yu karte rahe tumhara
Jaise meri zindagi sirf tumhari haiNa waqt ki qadar ki
Na logon ki fikar
Iss tarah tutt kar chaha tumko
Jaise meri har ek saas sirf tumhari haiKya kami reh gayi mere pyar main
Ke paa kar bhi tumhe tum kabhi mere na hue,
Kyu aazmata hai yu rabb mera ke ab chah kar bhi tumse durr na hue.Paas toh abhi hai tumhare par shayad mujh main hi koi baat nahi
Kyu khaas kabhi na banne tumhare liye,
Par tumse koi shikayat nahiMaaf karu kaise jab dil naraaz hi nahi Bas is tarah tutti hu main ki sanaata hai koi aawaz hi nahi
Kitna pyar karte hai tumse kya kahe
Khud bhi bekhabar hu main
Buss itna jaanti hu
Jo kabhi soch bhi na sakti thi
Woh seh chuki hu main.Na ab darr tumhe khone se hai
Na tumhe paane ki khushi
Phir bhi meri jaan tum main basti hai
Shayad bekhabar ho tum.Shikayat kya kare tumse
Yeh toh rab ki azmaish hai
Aansu bankar kabhi hansi bankar
Aankhon se pal pal behte ho tumZindagi yu guzaari maine
Jaise mere jeena ke maksat ho sirf tum.- ZahrahSakhib
आप पढ़ रहे हैं
Hindi Poems ( Dil ka haal )
PoetryBaatein kuch aisi dil main ghar kar gayi, Aansu aur hasi main jaise koi fark hi na ho, Jab sabne kaha tum chup raho, Humne apni baaton ko kaagazo par utaar diya... Read, Like and please do comment 😊