At night
Gauri was in her room sitting on a window. Looking towards the beautiful shining stars. Just then om enters in her room. He too sat beside her. She felt someone presence and find om sitting next to her.
Gauri- aap?
Om- coffee?
She nodded.
Gauri- pata hai, mai aur meri maa humesha aise aasmaan mai dekha karte the. Humari jindagi mai humne bohot se dukh dekhe hai lekin phir bhi un sab dukho ko bhulakar yu aasmaan mai dekhkar ek ajeeb sa sukun milta tha. Bachpan mai hi bauji chal base, pita ka pyar to hume kabhi mila hi nahi aur paiso ki tangi ke kaaran humne padai chodkar kaam karna shuru kiya aur phir jab sab kuch thik hone laga to humari jindagi mai kali aa gaya. Khushiya to jese humare naseeb mai thi hi nahi.
Om felt very bad for her. He kept his hand on her shoulder. She wiped off her tears and said-
Gauri- uhhh, hum bhi pata nai ye kya baatein lekar beth gaye! Chodiye ee sab aur aap bataiye!
Om- its ok gauri, tum apne emotions mere saamne zaahir kar sakti ho. Rona buri baat nahi hoti. (She smiled) Aur waise bhi khushiyan to 4 din ki chandi ke barabar hoti hai, lekin mere case mai to khushiyan 4 din ki bhi nahi hai😕
Gauri looked towards him
G- omkaraji!! (Placed her hand on his shoulder)
Om- mere paas sab kuch hai!!
Woh shivaay kehta hai na NAAM,KHOON, KHANDAN sab kuch.. Lekin phir bhi khushiyan.. Usse to jaise mera breakup hi chal raha hai!
Kehne ko to itna bada parivaar hai mera par pyaar, sirf bhaiyyo se mila hai. Mom aur mr. Oberoi ke bich takrar ke kaaran na to maa ka pyaar mila aur na hi baap ka. Mera bachpan to maine apne mom dad ka jhagda dekhkar hi guzara hai.
Aur phir jab kisise sacche dil se pyaar kiya to usey mujhse nahi mere paison se pyaar hua.. 😃to saala pyaar se bhi vishvas uth gaya!!
Gauri- aapne to humari soch hi badal di...
Om- mtlb??
G- mtlb ye k hume lagta tha k ameer ghar ke chiroto ko koi problem nahi hoti. Lekin kisine sach hi kaha hai paisa sab kuch nahi hota😃
Hum apna sab kuch bareilly chod kar yahan kuch karne aaye hai, taaki aage ki jindagi bina koi uu ka kehte hai rudy bhaiyya, haan, bina koi TRAGEDY ke nikle. Aur ab to humare paas ek dost bhi hai jo humara har qadam pe saath denge.. Denge na??
Om- ye bhi koi puchne ki baat hai.
They both share a small yet deep eyelock
Om- chlo ab tum so jao. Bohot raat ho chuki hai. Kal subah tumhe apne naye kaam ki shuruaat bhi to karni hai. Good night!
G- goodnight 🌙💤
And he left.
.
The next morning anika got a call from mrs mehta for their daughters engagement ceremony.
Anika- ji ji, ha thik hai hum designs le kar aaj dopahar ko aapke ghar milte hai. Accha ok. Thank you Mrs mehta.
And she cut the call. She excitedly screamed for gauri..
"Gauri, gauri" "areyy kahan ho?"
G- ka hua bhojai? Aap itna chilla kyu rahi hai.
Everybody comes there listening to anika's voice. Anika twirled gauri in excitement..
G- bhojai, ka kar rahi hai. Hume chakkar aa jayenge..
A- gauri, gauri.. Mai bata nai sakti mai kitni khush hu.
Dadi- par puttar hua kya?
A- dadi, mrs mehta ki beti ki engagement hai 4 din mai. To uskj arrangements ka order hume mila hai...
Gauri- kaaaa!!!
Bhojai ee to bohot khusi ki baat hai.. Hum abhi maa ko batakar aate hai😀😀😀
She went to her room and called her mom and shared the news. Then she decide to call omkara.
****on phone convo****
Om- ha bolo.
G- omkaraji aaj hum bohot khush hai!!
Om- accha! Aur woh khushi ki baat kya hai?
G- yahi ki aaj hume humara pehla kaam mil gaya!!!!!!!!
Om- woww,, that's really a great news... Congrats!!
G- thankoo thankoo!!
Hum bohot hi zyada khush hai!!
Om- all the best!
She smiled and cut the call..
.
.
TO BE CONTINUED...
.
PRECAP- GAURI IN TROUBLE..
.
.
I HOPE WATTPAD SIDHE SIDHE YE UPDATE HONE DE AUR KOI SIYAPPA NA KARE!😕😕😕
.
DO VOTE AND COMMENT BELOW.
THANK YOU!