A poem on studies

46 18 29
                                    

Today we are going to see how does the conversation between a sad and burdened student and book goes....the student blames the book and tries to show her the reality of life but book fights back and make student realise his stupidity.......

Read and have fun......

Jo Maine pustak kholi

Pustak mujhse ye boli

Tu mujhko padh le ek baar

Panno ko tu khol to yaar

Maine bola tum ho complex

Samajh nhi mujhe aati ho

Tere chakkar me me din bhar

Tension me aa jati hoon

Kahi hai chemistry ke formulae

Kahi hai newton laws chupe

Bas tumko ratne ki khatir

Bade bade surmaa hai dare

Tum me hai calculas tumhi me

Algebra ki maar hai

Tum me hai kranti to

Tum me vishwa yuddha ka vaar hai

Tumme Maine chain shanti bhi

Barambaar gawai hai

Itni pyaari neend hamari

Tumne hi udwayi hai

Tum jaisa koi nhi hai horror

Bhoot pret atmaaon me

Tumko dekh ke dil me terror

Bhar jata ek baar me

Kyo tum hamko yu ho satati

Chhodo nakhre gyaan ke

Chalo dikhaye tumko hum bhi

Duniya apni jaan ke

Khelo koodo mauj manao

Jeevan bada hi chota hai

Hum bacchon ko dard bahut

Dekh ke tumko hota hai

Pustak boli itna lamba

Likha Jo mere baare me

Padh lete kuch aur

To time na hota waste ye baaton me....

Written by #CrazystudentMegha

Do vote and comment kaisa laga..the truth is books se koi nhi jeet Sakta....

School The Heavenly HellWhere stories live. Discover now