Randhir: Is ladki pe gandagi karne liye mein sau baar kharacha phenk sakta hu.
Sanyukta: Sau baar toh chodho, aaj ke baad ek bhi baar aisa kiya naa mein tumhari complain kar dungi.
Randhir: Jaao kar lo. As if, sab log tumhari complain sunne aur solve karneko baithe hai.Kab Sanyukta pe kharacha girega. Aur kab voh rote rote complain karne aayegi.
Sanyukta: Please. Har koi tumhare tarah badtameez nahi hota. Logon me tameez hoti hai.
Randhir: Just shut up. Bahut ho gaya tumhara. Aaj toh mein tumhe (He picks something to hit her)
Kaustuki: Stop it, Randhir. Kya kar rahe ho tum dono?
Jignesh: Arey tum dono ko jo phenk hai phenko, book paper file pen, par meherbani karke kharacha mat karo. Mujhe uthana padta hai.
Sanyukta: I am telling you, Randhir, dobara aisa kiya naa (Kaustuki drags her away)
Jignesh thanks Kaustuki aloud 'Acha hua tum sahi time pe aa gayi. Randhir bhai, kharach mein phenk dunga, badboo bhi mein sehen kar lunga lekin tumhara gussa sehen nahi kar sakta. Aap jaao'
Kaustuki: Tumko pata hai naa vo kaisa hai? Fir tum kyun gaya uske paas ladne ke liye?
Sanyukta: Mein ladne nahi gayi thi, mein sirf usse yeh bataane gayi thi cheating mein ne nahi ki hai. Voh bekaar me doubt kar raha hai? Tum mujhe bahar kyon leke aayi, mein toh usse batane wali thi aaj. Achi khasi class lene wali thi.
Kaustuki: No need to take anybody's class, Aur kuch clarify karne ki zaroorat bhi nahi hai. Forget it. Don't give too much importance to that boy.
Randhir vents his anger on punching bag while Jignesh spreads fragrance across the room.
Jignesh: Randhir bhai, kiya kya aap ne? Yeh gandi smell meri body se chipak gayi hai, pata hai aap ko. Kaustuki ko kaise milunga, yeh baas toh mere body se jaane se rahi.
Randhir: Ek toh cheating karti hai, upar se complain karne ki dhamki deti hai. How dare she? Pichle do task uske vajah se haar raha hu. Aata jaata toh kuch hai nahi, bas bekaar ki harkate karke jeet rahi hai. Agle task mein bataunga usse.
Jignesh (after sneaking his head out the window): Randhir bhai, kuch bola aap ne. Vo mein saans le raha tha, isliye kuch sun nahi paaya.
Randhir:Chain ki saans toh mein lunga nahi jab tak I don't get her out of my system. Sanyukta Aggarwal, mein tumhe garbage ke jaise bahar phenk dunga.
Guys. I'm so disappointed. Not much vote. Not much reads. This is so not done. If you've comments in terms of storyline or got feedback, I'm just a message away. Fellas, keep reading and loving. *heart emoji*
YOU ARE READING
A Duologue on Sandhir - Completed ✅
Fanfiction2 years. 24 months. This show left a great impact on many teens. Sadda Haq - My life My choice : A youth inspirational show. Many of us still ship Param Singh Bhatia and Harshita Gaur as Sandhir. I would like to thank Beyond Dreams for that. Nevert...