Qisat 4- A Labourers Rant.

3 0 0
                                    

Azad tu hum ho ghai but abhi ek nehi huwe.

Hum gareeb log tu awaaz utatay hi nehi hain..chahay hamaray saath kitna bhi Zulm ho jay. Hum ussko apni Saza maan ka zulm ko haamoushi se sehte hain. Hum ki aadat si ho ghi hai. Lekin har zulm ki hoti Hai ek had.

Be bas ho kar bhi....paese ki kami hote huwe bhi hum ne na tu tax dene par itraaz kiya, na koy fine. Iss liye nehi ke hum hakumat se darte hain lekin iss liye ke hum apne mulk ke liye kuch karna chahtai. Kiya jaanay hum ke hamara diya Paesa kahaan jata hai. Shaid woh sarak bananay mein istimaal hota hai, shaid woh paesa school mein lag jata hai. Hum tu yehi manatay hain ke yeh paisa kisi naek kaam ke liye hi istimaal ho raha hai. Hum kiya jaanay ke ye paesa baray logo ke peat barany mein kaam ata hai...un ke lalalach ke liye istimaal hota hai. Hum kiya jaanay yeh haamaray sisasatdaan kaah lete hain.

Haan agar hum vote nehi dete, kisi party ko apni support nehi dete tu hamara koy haq nehi banta ke hum shakiyat kare. Lekin hum elections mein participate karte hain, apne leaders ki baatoan pai yaqeen karte hain, umeed karte hain ke woh hamari mushkilain dur kare. Yeh umeed rakhtai hain ke agar hum ne vote di tu hamaray bache school mein jain ghai, hamaray aas paas hospital, college Hun ghai, achi roads Hun ghi. Hum yeh umeed rakhtai hain ke haamaray gharon mein bijli ho ghi, hamari zindagian asaan Hun ghi. Lekin hum kiya jaanay. Ye sisastdaan tu sirf apnay liye hi kArte hain. Apne hi faede ke liye kaam karte hain. Haamrai vote tu baar mein jaati hai.

Hamaray bache ke Hathon mein kalam nehi, haamaray bazurgun ke elaaj ke liye hospital nehi. Hamaray najwano ke liye koy naukri nehi. Aur phir hum se pucha jaata hai ke hum jazbaati q ho rahen hain. Hum se pucha jaata hai ke hamaray bache haraab q ho rahen hain. Hum kya jawaab Dain? Hamari bachiun ko agay parnay ke liye koy suhliyaat nehi aur phir Hum se pucha jaata hai ke hamari Bachi ghar pe q beti hai. Yeh kya na insaafi hai?

Kya yehi tha Iqbal ka khawaab? Ke ghareebo aur amiron mein farq raka jay. Ke jis ke paas paesa nehi uss ko marnay ke liya chora jay. Kya yeh hai unity? Kya Isi liye Pakistan bana tha? Ke hum apno se bhi alag ho jay. Ghairon mein tu sadiun se dushmani thi....lekin ab apno Mein bhi yehi hai. Kya banay gha iss qaum ka? Kya Quaid ne hamay yehi sabaq sikaya tha? Sharam Aani chaiai unn ko jo hum ghareebo ka sahara banay ke bajay hamaray raste mein kaantai laga rahen hain.

MIND CORRUPTIONWhere stories live. Discover now