Part 5

737 44 1
                                    



Aaj Manik ko discharge kiye huye do din ho gaye hai.kal raat ko Abhi bhi ghar laut aaya hai.

Mukthi Abhi ko Manik aur nandini ke ristey ke bare me batati hai.Abhi yeh janke bahot khush

hota hai ab nandini ki zindagi me phir se khushiyaan aayegi.koi aisa aayega jise woh apna

keh sake.Lekin abhi Abhi kahi na kahi kuch soch me ulja hua tha.Abhi Mukthi ko batata hai

ki woh Manik se milna chahta hai.Mukthi Manik ko phone karke Navya aur Cabir ke saath

subaah coffee house me milne ko kehti hai.

(In the coffee house)

Cabir, Navya aur Manik bethke Abhi aur Mukthi ka intazar kar rahe the.

Navya: Omg.us din ke baad main to darr hi gayi thi nandini ka gussa dekh ke.

muje nahin lagta ki main aap logo ka saath de pau.agar use pata chal gaya ki hum

sab mile huye hai to.

Cabir: Navya.tu bhi hamesha ki tarah darpok hi rahogi.Manik ne hum dono ko milake

apni dosti nibha di.ab hamari bari hai.

Navya: Kya Manik tumhe bhi wohi milni thi.

Manik: Kya karoon nandini ke aage muje aur kuch dikhta hi nahin.

Tab Mukthi aur Abhi andar aate hai.sab log ek dusre ko introduce karte hai.

Abhi: Manik main tumhe to nahin janta lekin nandini ko maine apni behen banaya hai.

aur main janna chahta hoon ki kis hadd tak tum nandini ko chahte ho.kya kar sakte ho

nandini ke liye.

Manik: Main yeh to nahin kahunga ki main nandini ke bina jee nahin paunga.lekin woh

zindagi bhi meri liye maut se kam nahin hogi.rahi baat mere pyar ki to muje nandini

ke pyaar ki koi zaroorat nahin kyunki mera pyaar itna gehra hai ki yeh zindagi mere aur

nandini ke liye kafi hai.yeh vaada main tumse zaroor kar sakta hoon ki mere saath hote

huye uske aankhon me aanshu nahin aayege.main use phir se muskurana shikaunga.main use

wapas apni wahi purani wali nandini banauga.Agar nandini ka saath mere saath hai to muje

aur kuch nahin chahiye.meri khushi mera dard sab nandini se jude huye hai.lekin nandini muje

dost se aage kuch nahin manti.

Abhi: janta hoon lekin woh bhi halat se majboor hai.

Navya: halat se majboor matlab.

Mukthi: Abhi ka matlab hai ki nandini ne kabhi hospital aur unke patients ke aage kuch

socha hi nahin.Abhi Mukthi ko gor se dekhta hai.

Navya: lekin ab to nandini Manik se milegi bhi nahi.

Cabir: nandini Manik se nahin mil sakti lekin Manik to mil sakta hai na.

Abhi: main kuch samja nahin.

Cabir: Muje kal shaam hi court se letter aaya hai jis me likha hai kal Manik ke

sharab pike gadi chalane pe case hua hai.main kuch kar sakta hoon agar Mukthi mera saath de

to.

Mukthi: main nandini ke liye kuch bhi kar sakti hoon.

Cabir: Kal case ki sunwahi me Manik ko fine hoga lekin main court me apil karunga ki

Manan foreverWhere stories live. Discover now