Manik aur Nandani dono ghar vapas aane ke liye nikalte hai.
(in the car)
Manik: lagta hai baris honewali hai.
Nandani: muje baris bahot pasand hai.khas karke jab apna koi saath ho.
Manik: Tum baris me bhigti huyi bahot khubsurat lagti ho.khas karke us
din jab maine pehli bar tumhe dekha tha.ek masoom.bholibhali.jo kuch bhi
nahin sambhal pa rahi thi.lekin meri woh Nandani kahi kho gayi hai.
Nandani: kyun aaj kya muj me pehle ki parchai nahin nazar aati.
Manik: aisi baat nahin.lekin ab jab tumhe dekhta hoon to .ek mature.
ek doctor nazar aa rahi hai .jo her waqt apne aap ko apne kam me itna
ulja hua rakhti hai ki kisi aur chizo ke liye uske pass waqt hi nahin.
Nandani: mera her waqt to main tumpe ya apne hospital ko deti hoon.aur
kya chahiye muje.
Manik: yahi to main keh raha hoon.muje apne liye nahin lekin tum apne liye
waqt nikalo.pehle tum kitni savera karti thi.woh tumhari khankti choodiyaan.
woh payal ki chan chan.woh tumhara khuli zulfe.woh tumhara lehrata dupatta.
Nandani: abhi bhi yaad hai.
Manik: isi yaad se to meri zindagi yaha tak pahonchi hai aur shayab
ab bhi tum na milti to main isi yaad me apni puri zindagi gujar deta.
Nandani: aaj pehli bar zameen pe kisi farishtey ko dekh rahi hoon.ek
aisa farishta jo sirf mere liye jita hai aur sirf meri parvah karta hai
ki main kya karti hoon.kya pehnti hoon.kya main khush hoon ki nahin.
Manik: kya Nandani muje meri pehle wali Nandani mil sakti hai.
Nandani: aaj se tum apni pehle wali Nandani ko paoge jab kal ka suraj
nikal ne se pehle.
Manik: thank you.
Nandani: apno ko thanks nahin kehte.
Manik aur Nandani ek dusre ki aankhon me kho huye the jab achanak se
car ruk jati hai.
Nandani: are.is car ko kya hua.
Manik: main dekhta hoon.
Nandani: hmmmmm.
Manik car ko kholkar dekh raha hota hai jab Nandani uske pass aake khadi
hoti hai.
Nandani: kya hua Manik.hum ghar to pahonch jayenge naa.
Manik: Nahin Nandani.yeh car ko to hume kisi garage me dena hoga.
Nandani: lekin is waqt.raat kafi ho gayi hai aur is waqt hume kaun milega.
Manik: main driver ko phone karke dekhta hoon.
Manik apna cell phone nikalta hai lekin network bhi nahin mil raha.
Nandani: Manik.ab hum ghar kaise jayenge.
Manik: maine yaha aate samay dekha tha ki highway najdig hi hai.hum paidle
waha tak phunch ke phir kisi se lift le lenge.chale.
![](https://img.wattpad.com/cover/149117810-288-k434984.jpg)
YOU ARE READING
Manan forever
FanfictionWe see a very big hospital and on the building the board says " Lifecare Hospital".We see an ambulense stopped at the entrance and someone carries a man on the strecher.we cant see his face because it is covered full in blood. Person: nurse.ple inhe...