Part 26

649 46 9
                                        


Last Part

Nandini tali bajati huyi andar aati hai.

Nandini: wah Soha wah.kisi ki zindagi ka tamsha karna koi tumse sikhe.

Soha: main yaha pe koi tamasha nahi kar rahi.sab ko sach bata rahi hoon.tumhara asli chehra.

Nandini: tumne apni aur se sach bata diya ab main baki ka sach batati hoon.yeh tasvir joothi

nahi hai.yeh sach hai ki main Dhruv se pyaar karti hoon.lekin aap logo ne yeh jaane ki

Koshish ki ke Dhruv kaun hai.

Soha: Ab itna bataya hai to yeh sach bhi tum hi bata do ki kya rishta hai tumhara Dhruv

ke saath.

Nandini: jaisa tumhara rishta hai Harshad ke saath.Dhruv aur Aliya bachpan se mere

saath pale bade huye hai.Woh log muje Badi Dii kehte hai.Maine aur Aaryeman ne milke

Dhruv aur Aliya ki shaadi karayi hai.Dhruv aur Aliya dono shaadisuda hai.Maine un dono

ko apne bacho ki tarah chaha hai.inhe behat pyaar diya hai to kya galat kiya hai.

Soha: Nandini kitnaa jooth tum aasani se bol leti ho.Joothi kahani banana koi tumse shikhe.

Nandini: aur ristoin me kaise darar karna koi tumse shikhe.

Soha: Manik ke saath shaadi karne ke baad bhi tumne Kabhi Manik aur Manik ke pyaar ke

saath wafai nahi ki.kitni afsoos ki baat hai.

Nandini: Sach kaha tumne.Ek premika apne premi se bewafa ho sakti hai.ek Patni apne

Pati se bewafai kar sakti hai.yaha tak Ek aurat khud se bewafa ho sakti hai lekin ek

Maa kabhi apne bache se bewafai nahi kar sakti.

Manik: Nandini.

Nandini: Haa Manik.meri anadar hamare pyaar ki nishani janam le rahi hai.

Manik: sach.lekin yeh sab kab.

Nandini; muje kal raat ko hi pata chala ki main preganant hoon.

Manik: Soha.aur bhi kuch kehna chahti ho.

Nandini: Soha.maine kitni bar tumse kaha ki tum muje aur Manik ko alag nahi kar

sakti.ab to dekho.muje aur Manik ko jodnewali yeh kadi janam le rahi hai.muje

laga tha ki shayad ek aurat ka dard hi dusri aurat samaj sakti hai.lekin main

yeh bhool gayi ki ek aurat hi hoti hai jo dusri aurat ka ghar todti hai.Soha.

tumne jab jab hume dur karna chah hum dono pass aate gaye.ab to tum samaj jao ki

main aur Manik sirf ek dusre ke liye bane hai.main tumhe sirf itna hi kehna chahti

hoon ki tum bahot hi samajdar ho aur samajdar logo ke liye ek ishara hi kafi hota hai.

Nandini yeh kehke apne kamre me chali jati hai aur Manik bhi Nandini ke piche chala

jata hai.Soha aur Harshad bhi apna saman leke neeche aate hai.

Nynonika: Soha aaj jo tumne kiya uske liye main tumhe kabhi maff nahi kar sakti.

Soha: janti hoon.is liye to yaha se hum log ja rahe hai.kyunki ab kabhi bhi aapse ya

Manik se nazare uthake hum baat nahi kar sakenge.lekin ho sake to hume maaf kar dijiyega.

Manan foreverWhere stories live. Discover now