Khaat

339 10 0
                                    

chachi aur kareeman buwa sehan main bethay baatyn kr rahy thy chammi b inki baatyn ghor se sunn rahi thi chachi ko achnak yaad aya k kafi din ho gaye jameel bhaiya k kamray ki safai nahi hui aur kareeman buwa bhi burhapay ki wajah se zada kaam nahi krskti thi chammi ne chachi se kaha k agar unki ijazat ho tou wo jameel bhaiya k kamray ki safai kr de g. chachi ne pehle tou mana kia lekin phir ijazat de di. chammi ne ab safai krne k leye jharo uthaya aur jameel bhaiya k kamray main chali gai.kareeman buwa ne chachi se kaha k kab tk jameel bhaiya ki shadi krn g iss trah tou jameel ki umer guzar rahi hai koi tou larki dhoonde, chachi ne b yehi kaha k wo tou thak gai hain koi larki jameel k leye pasand nahi kr pati,kareeman buwa ne kaha k "be gum sahiba chammi k bary main kia khayal hai ghar ki bachi hai izzat tou krti hai apki khidmat b kry g mujhe tou ye bohat achi lgti hai.apka kia kehti hain?"chachi ne kaha k wo bilkul iss bary main sochyn g aur jameel se b baat kryn g. chammi jameel bhaiya k kamray main phnchi tou wo bilkul heraan nahi hui kyun k jameel bhaiya ka kamra intahai sada tha kamray ki safai krne main zada dair nahi lagi jab wo table ki safai krne ai tou jameel bhaiya ki kitaboo se hi andaza lgaya lia tha k inhy shair o shairi ka bohat shoq hai phir inki shairi k kaghaz dekhe tou thori heraan hui k jameel bhaiya tou shayer b hain usne jaldi se safai ki aur shair parhne lagi itne main jameel bhaiya kamray main dakhil hony lagy chammi ko dekh kr darwazy pr hi khare rahy aur chammi ko dekh rahy thy k wo b uski shairi ab parhne lagi hai phir wo gala khankaar kr dakhil huye chammi ne foran sar pr dobata theek kia aur jameel ki shairi k safhay rakh diye aur phir jany lagi jameel bhaiya ne usy bas sirf yehi kaha k "apko shairi pasand hai tou ap koi kitab le jayn meri shairi b parh lejeye ga wese b kisi ko maine parhne k leye kabi mana nahi kiya jab apko koi kitaab parhni ho tou yahaan se le jaye ga" chammi ne shukria kaha aur safhay aur ek doo kitab le kar chali gai chammi k jany k baad jameel bhaiya ne pehle kamray mn hui safai ko dekha k un ki har cheez kitni mohabbat se saaf hui hai har ek cheez main unhe chaami ka hi aks nazar a raha tha ab bs unhy intezar tha tou sirf chammi ka kyun k wo apne un safhon main us k naam ek khaat rakh chuky thy jo ab chammi k pass hon gy pta nahi wo kia sochy g aur unse kia kahy g khaat likhne ki himmat tou kr li thi magar us tak pohchany main himat nahi ho rahi thi iss leye socha k wo abi nahi dyn gy iss leye apne safhon mn hi rakh diye lekin aj jab chammi ai aur wo safhay b le gai tou unki khushi ki inteha nahi thi lekin phir b ek pareshani thi k chammi ka kia rawaya ho ga.jameel bhaiya inhi sochon main bed pr lete aur so gaye.

chammi apne kamray main bed pr bethi aur jameel ki shairi parh rahi thi achank khaat wala safha samnay a gaya apna naam parh kr chammi bohat heraan hui usne khaat parhna shuru kia usse yakeen nahi a raha tha k ye isky naam hai. khaat main likha tha;

"chammi!

mujhe maloom nahi k ye khaat apko kab mily ga lekin agar mil jaye tou yehi samjhiye ga k ye apky leye mera pehla iqrar e  mohabat hai. main apko batoor chacha zad bhai,shayer nahi ek ashiq hi miloon ga ,mujhe nahi maloom apka is khaat ko parhne k baad kia rawaya ho ga,main apko mohabat pr majboor nahi krn ga apko agr koi aitraaz hai tou main apse ye baat nahi krn ga main apse bs yehi chahta hun k ap mujh se ek bar milne a jayn agr apko meri mohabbat qabool hai aj shaam ko chaat pr main apka intzar krn ga agr ap nahi ayi tou main yehi samj loon ga k main apko bhool jaoon ga aur kabhi apko dobara koi aisy khaat nahi milyn gy,bs ek choti si guzarish mere dil ne apky naam likhne k leye himmat di ab apki marzi hai,main bs yehi kh skta tha

Allah Hafiz!

Jameel"

chammi ab yehi soch rahi thi k wo kia kry kiss trah jameel ko kahy g k wo tou usski hi muntazir thi lekin yakeen nahi a raha tha k jameel iss trah usse mohabbat ka iqraar kry ga ab usne soch lia k wo jaye g aur jameel ki mohabat ko qabool kry g chammi ne foran apna ek jora istiri kia aur shaam ka intzaar krny lgi jb wo jameel se milny jaye g.

shaam ho gai aur chachi apny kamray main sony chali gai chammi ab ahista ahista chaat pr jany lagi jb phnchi tou jameel ko wahaan nahi paya lga shayed wo abi nahi aya ho,chammi jameel k intzaar main idher se udhar tehlne lgi thori dair baad chammi ka naam ek bhari si awaaz waly shaks ne pukara, jameel ki awaaz tou wo khub pehnchan gai thi usne sirf g kaha aur apna chehra dobata se chupaya rakha,jameel ko b yakeen nahi a raha tha chammi usky samny a gai hai.kuch dair khamoshi chai rahi phir jameel ne baat krna shuru ki.

jammel:"mujhe samj nahi a raha k main apse kia baat krn"

chammi:"boliye main sunn rahi hun"

jameel:"apko meri mohabat se koi aitraaz  tou nahi aur ap ab jo kahin g wese hi ho ga"

chammi:"nahi mujhe aitraaz nahi hai mujhe samj nahi a raha k main apko kia kahoon main pehle b apka ehsaan nahi bhool sakti ap sab ne mujhe yahaan bohat izzat di hai ghar ka fard hi samjha."

jameel:"nahi ye hamara ehsaan nahi hai ye ghar jitna mera hai utna apka b hai aur ap iss ghar ka fard hi hain"

chammi:"shukria"

jameel:"ap jana nahi chahiyn g k mujhe ap se hi mohabat hui aur kab mai kabse apse milne aur apko dekhne k leye taras raha tha."

chammi:"nahi mujhe lgta hai mohabat main koi safaiyaan nahi di jati apko mujhse mohabat hui mere leye yehi kafi hai"

jameel:"ye baat tou apne bilkul theek kahi hai,apko wese shairi ki kitab parhne ka shoq hai mujhe aj hi pta chala apko parhni hon tou ap mujse le jaya krn,bachpan humne sath guzara lekin kabi ni socha tha k aj ap meri mohabat hon g, ab neeche chalyn kafi dair ho gai shayed ap b ja kr so jayn thaki hui hon g."

chammi:"maine b nahi socha tha lekin ab yakeen ho gaya hai.g main ab jati hun.shukria Allah Hafiz."

jameel:"Allah Hafiz"

Thank u so much my readers for reading my fanfiction and now its time for ur feedback do comment down how u feel about this part.InshaAllah meet u in next part

Yeh ishq nahi asaan ~Aangan✔Where stories live. Discover now