Qabool Hai

420 14 11
                                    

Juma ka din Jameel aur Chammi k nikkah ka din muqarar kia gaya.ab Juma bas chaar din door tha chammi k walid bhi a chukay thy lekin unho ne kaha k wo chammi ko ghar le jana chahtay hain aur usse wahin se rukhsat karyn gy.chachi aur jameel raazi thy lekin chammi ne kuch nahi kaha usse kuch samj nahi a raha tha kyun k us k walid ne shayed pehli baar uski maa ki akhiri khuwahish puri krny ki thaani hai chammi ko yaad aya k jb uski maa ka intqaal hua tha tou unho ne intqaal se pehle chammi k walid ko  chammi ka hamesha khayal rakhne ka kaha tha aur isko rukhsat ghar se hi krne ka kaha tha kyun k uss waqt chammi ko haveli bhjne ki baat ki ja rahi thi .iss baat ko sun kr wo bas kamray mai hi chali gai aur rony lagi pta nahi wo aj maa ko yaad kr rahi thi agar aj wo hoti tou wo khud kitni khushi se uski shadi ki tayari krwati.chammi  bas roty roty hi soo gai lekin kuch hi dair baad jb wo uthi tou kyun k raat tou ho hi chuki thi lekin uska dil kr raha tha k wo chaat pr jaye uss zamazy hone wali dulhan ko bila waja kamray se nikalne ki ijazat nahi hoti thi phir bhi wo chaat pr chup chup kr chali jati thi aur ab bhi chali gai.chaand aur sitaray aasman pr a gaye thy aur apni roshni bekhair rahy thy halki si thandi hawa chal rahi thi aur chammi kuch behtar mehsoos krny lagi.aur chaand sitaray dekhti rahi kuch hi lamhay baad usne jameel ko apne peeche khara paya wo tou aj kal jameel k qadmo ki chaap se bhi usse pehchaane lag gai thi..... khair.. chammi bas khari rahi aur jameel k bolne ka intzaaar krne lagi.

jameel kuch dair khamosh raha phir kuch dair baad boly "in chaand sitaron ne jamaat badal li hai mujhy bhool gaye hain" chammi jameel ki baat pr hasi"jamaat ka kia naam hai?" jameel"awaam dost party" chammi ne apni hansi qabu ki.phir jameel se kaha"mai kal abba k sath ghar ja rahi hun rukhsati wahan se ho g...lekin mai...."jameel"lekin ap jana nahi chahti...."chammi ki ankhon se ansu girne lagy jameel ko chammi ka ansu nazar a rahay  thy apne haath se chammi k ansu saaf kiye aur kaha "mai samjh sakta hun apki iss waqt kia kafiyaat hai"chammi"abba ye sirf ammi ki akhiri khuwahish ki waja se kr rahy hain k mai apne ghar se hi rukhsat hon"jameel"g chacha ne btaya tha shayed ap uss waqt baat adhi sun kr a gai thi....ap aisy ansu nah bahayn apko khush hona chahiye k chacha chachi ki khuwahish pr hi sahi  lekin apko apky ghar se tou mehroom nahi rakh rahy naaa?ap apne ghar mai ansu ya koi gumaan le kr nah jayn balky ye soch kr jayn k ap wahan se nayi zindagi ki kunji le kr ayn g.mai apko ye tou nahi keh raha k ap jo kuch hua wo bhool jayn zakham abhi bharay nahi hain lekin dawa tou lene jayn .theek hai mai ab apni dulhan ko udaas nahi dkhna chahta jb mai wahan aoon tou sabse zada mujhy ap hi hansti nazar ayn.....InshaAllah sab theek ho jaye ga".chammi ne ansu rok leye aur jameel ki baat pr sar hilaya. phir khuda hafiz keh kr kamray mai ayi ab wo shayed pehle se bhi zada pursakoon ho gai thi jameel ki sari baat jaisy wo sirf yehi sunna chahti ho,

subah nashty k baad chammi apne walid k sath apne ghar jany k leye rawana hui railway station pr jameel un ko chorne aya ab usse chammi ki ankhon mai kl raat k ansu nazar nahi a rahay thy balky ek khushi aur intzaar nazar araha tha.ye teen din chammi ne apne ghar mai bilkul pursakoon gyzaray usky walid ki dusri biwi ya phir chammi ki dusri maa kahyn unho ne chammi ka har trah se khayal rakha.nikkah ka din a gaya shaam se pehle jameel barat le aya chammi apne jamray mai tayar ho rahi thi k us k walid ne kamray k darwazy pr dastak di aur andar any k leye ijazat li chammi ne andar any dia .chammi ne salam kia aur unhy baithny k leye kaha phir kuch dair kahmoshi rahi aur phir chammi k walid boly"chammi beta aj tuhara nikkah hai mai tumse maafi maangna chahta hun maine tumhe ghar hony k bawajood haveli mai chor dia aur tumhara kharcha bhi tumhy waqt pr nahi dia jb tumhari chachi ka khaat aya tou mujhy saach mano bohat hi afsoos hua k agar mai abh bhi tumhy wo izzat nah de paya tou mera umhari maa se kia wo wada jhoota ho jaye ga aur mai Allah k samny bhi nazar nahi utha sakoon ga isi leye mai tumhy yahan le aya hun mai jaanta hun tum mujh se naraz ho aur hona bhi chahiye beta bas apni maa k leye mujhy maaf krdo jameel bohat acha larka hai jab maine uska naam prha k tum usky sath biyahi jao g tou saach poocho meri khushi aur barh gai tumhari chachi tumse tumhari maa ki trah payaar krti hain.mujhy yakeen hai  tum wahan hamesha khush raho g .abhi barat bhi agai hai thori dair mai hum nikkha k leye tumhare pass ayn gy. tum kuch nahi kaho g  mujh se abhi bhi naraz ho ?" chammi" nahi abba mai apse naraz nahi hun haan jo kuch hua mai bhool tou nahi sak rahi pr ab mai nahi chahti k wo sab baatyn meri shadi pr koi bura asr kryn ap befikar rahyn mai yahan khush hun aur wahaan chachi k ghar mai bhi khush rahoon g" abba"theek hai beta tum tayari kro mai thori dair tak tumhare pass ata hun" e keh kr chammi kabba chalay gaye aur chammi ne tayari mukammal ki.adhay ghanty baad abba kamray mai moalvi ahab k sath kamray mai aye aur nikkah shuru kia chammi k zehan mai wo sary alfaaz kuch apna hi taluq bna rahy thy aur hir usne teen baar "QABOOL HAI" kaha aur apne walid ka haath apne saar pr paya daoon k sath wo jameel ki k nikkah mai a chuki thi.

kuch dair baad chammi ko neechy laya gaya jahan sary mehmaan intzaaar kr rahy thy k rasmy shuru hon chammi k pass jany se pehle jameel dastakhat aur "QABOOL HAI " keh chuka tha yeh din chammi ki trah us k leye bhi intahai yaadgar hai kyun k aj wo apni mohabat ko hamesha k leye paa chuka hai.

Rasmayn shuru hui aur sabse pehli jo rasm ki gai wo munh dikhai thi chammi aur jameel ek sath bethay  thy chammi ka chehra ghoongat k andar tha ek aina laya gaya aur in dono k samy rakha gaya jameel tou pta nahi kab se apne khayalon mai chammi ko apni dulhan bny dekh raha tha aj haqiaqt mai dekha tou laga k wo tou khayalon se bhi zada khubsurat lg rahi thi wahi palkyn jhukhi hui aur halki si muskurahat jameel ne chammi ko ahista awaz mai kaha k"jameel ki dulhan palkyn uthayn ye ashiq betaab hai apko dekhne k leye"chammi ne palkyn uthayn aur wo bhi shayed pehli baar jameel ko dekh rahi thi mulaqaaton pr tou uski nazar hi nahi milti thi aj jab mili tou wo bhi kehne lagi "chammi ki tarf se adaab hai.Nikkhah Mubarak" jameel ne muskura kr kaha"Nikkah Mubarak" aur is k baad kuch aur rasmyn hui phir shaam hui aur rukhsati k leye sab jma ho gaye aam taur pr dulhanyn rukhsati pr roti hain lekin chammi nahi roi balky khushi sab se mili aur jameel ka haath mai uska jab haath thamaya gaya tou wo usaka haath pakar kr waisy bhi ek baazi jeet chuki thi ab tou zindagi bhar k leye wo uska sath nahi chorna chahti thi jameel ne apne haath pr  chammi k haath ki mazbooti ko dil khol kr qabool kia kyun k wo bhi yehi chahta tha chammi apne apko akela nah samjhy....aur isi trah ye sab haveli ki taraf rawana ho gaye. jameel aur chammi ka ishq asaan ho gaya........

......................................................THE END.........................................................................................

THANK YOU SO MUCH EVERYONE FOR GIVING IT A READ I M SORRY FOR UPDATING THIS CHAPTER VERY LATE BUT I HOPE U ALL LIKE THIS ONE. I WANT TO TELL U ALL THAT PLEASE DON'T BUILD EXPECTATIONS FROM AANGAN DRAMA ABOUT JAMEEL AND CHAMMI AFTER READING MY STORY I HAVE NO IDEA HOW THEIR STORY IS MAYBE THEY PUT THE SAME AS THE NOVEL.MY STORY IS NOT A COPY OF NOVEL THERE ARE NO SUCH SCENES IN THE NOVE LIKE MINE.ITS MY LITTLE HOBBY AND NOTHING ELSE..... ALSO I AM WRITING IT IN ROMAN URDU TO KEEP THAT RYTHM OF THE NOVEL I M MUCH COMFORTABLE IN WRITING IT IN URDU AS COMPARED TO ENGLISH.... ALLAH HAFIZ INSHALLAH I WILL COME UP WITH ANOTHER STORY IF I HAVE ANY IDEA TO WRITE MAYBE DIFFERENT FROM DRAMAS....

 ALLAH HAFIZ INSHALLAH I WILL COME UP WITH ANOTHER STORY IF I HAVE ANY IDEA TO WRITE MAYBE DIFFERENT FROM DRAMAS

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


this cover credit goes to mahidhoomie

her edits are really good if u want a cover for ur book u can tell her in her formalities section for covers part.


Yeh ishq nahi asaan ~Aangan✔Where stories live. Discover now