Shadi Ka Faisla

323 12 1
                                    

uss raat jb chammi apne kamray main wapas ai tou shayed pehli baar usne apne ap ko sheeshay mai dekha aur socha k kia ye yehi larki hai jissy isky apne baap ne khud se dur yahan chacha k ghar chor dia ? mohabat aur izzat tou shayed wo apne ghar main kho hi chuki thi lekin jab se wo yahan chacha k ghar ai ek pal b wo apne ap ko is ghar ka fard manay se inkar na kr pati thi.usne socha k jameel ko konsi baat achi lagi ho g jo wo isse mohabbat kar betha kyun k wo apne ap ko momooli larki hi samjhti rahi thi lekin jameel k leye wo mamooli larki nahi hai balky uski mohabbat hai shayed chehre ki khubsurti se zayada andarooni khubsurti mutasir hui ho g. in sab baaton ko sochte aur jameel k sath wo lamhay yaad krty chammi soo gai,yehi haal jameel bhaiya ka b tha wo tou abhi tak chammi ki bari si ankhon ko hi yad kr rahy thy aur uski jhuki hui nazrayn pura chehra tou nahi dekh saky kyun k chammi ne apna munh dhanpa hua tha lekin wo ek pal k leye jo unki ankhyn mili thi jameel bhaiya tou bhool hi gaye thy k unky ird gird kia ho raha hai jameel bhaiya ki ankhon k samny bas samny chammi hi a rahi thi phir pta nahi chala aur wo b gehri neend so gaye.

shaam ko jab jammel bhaiya jalsay se wapas aye tou chachi ne unhy apne kamray main bula liya kuch dair baad unho ne jameel bhaiya se pehli ki trah shadi ki baat ki jameel bhaiya ne wahi jawab dia k"main ne kabhi inkaar nahi kia ap ko jo larki pasand kry g usi se hi shadi kryn gy" phir chachi ne kaha agr wo kahyn k wo larki agr chammi ho tou, jammel bhaiya herani se chachi ko dekha unko samj nahi a raha tha k wo kia kahyn wo khush hon ya phir chachi ko foran haan kahyn lekin jameel bhaiya ne bsyehi kaha k "amma main ne kaha hai na k mujhe koi aitraaz nahi hai ap chammi se baat kr lejiye ga wo jo kahy phir hi ap kuch krna.ab main chalta hun.Allah Hafiz" chachi bohat khush hui thi unho ne socha k kl subah wo chammi se baat kryn g

jameel aur chammi k kamray bs sath sath hi thy jameel bhaiya ne kabhi chammi k kamray main uski mojoodgi mai  jani ki koshish nahi ki bs chaat pr hi mulaqaat hoti thi lekin aj apne kamray main jaty huye unki nazr chammi k kamray main pri aur chammi ko wahaan na paya phir socha k wo chaat p hi gai ho g ja kr usse ye baat bta dyn gy lekin phir socha k pehle amma chammi se baat kr lyn phir hi wo usse miyn gy lekin chammi ko dekhy baghair wo reh b na paty thy phir bs yehi soch kr chaat pr chaly gaye lekin shadi ki baat na ki bs jalsay aur shairi ki baat hui.chaat pr jb jameel bhaiya gaye tou chammi wahan pr mojood thi sitraroo se bhara asman dekh rahi thi us waqt chammi ka chehra dhanpa hua na tha bs ankhyn band thi shayed kuch dua mang rahi thi jameel bhaiya ek bar phir bhool gaye ab tou wo mehboob k kitny kareeb a gaye thy k unhy usska chehra dekhna naseeb ho gaya tha phir jb chammi ne ankhyn kholi tou wo dur khary ho gaye lekin aj chammi unko dekh kr ghabrat main munh nahi dhanp rahi thi bs sar pr dobata theek krny lgi aur khamosh khari rahi phir kuch dair baad jameel se jalsay k bary main puchne lagi.aur issi trah wo dono mohabbat ka ek aur lamha guzar gaye.

thank u so much again for reading the previous part do share ur views about this one i know its very little but i am trying to make my imaginations long enough so i hope everybody likes it and i will catch u in next one.... till then happy reading....

Yeh ishq nahi asaan ~Aangan✔Where stories live. Discover now