Pehli Mulaqaat

922 16 6
                                    

Saakht Sardiyon ki raat thi Jameel bhaiya apne kamray mn study table pr kuch safhoon k dhair mn ek safhaye pr kafi dair se shairi likh rahy thy, shairi pasand thi kyun k M.A urdu Kia hua tha tou shairi b krne lg gaye thy lekin kabhi kitaab chapwany ka Irada nahi Kia bs kaghaz hi kitaab ki shakal lgny lg jaty thy, kamray mn laaltain ki Roshni phaili hui thi jo ahista ahista madham b hony lagi thi r achanak hi kamray mn andhera hony lga Jameel bhaiya ne tail dhoonda pr shayed wo Amma k kamray mn ho ga phir isi khayal se uthy r bahir ja kr Amma ko awaaz di k tail kamray mn de Jayn Amma k kamray se "lati hun" ki awaaz ai r phir Jameel bhaiya wapas kamray mn a gaye kuch hi dair baad ek khatoon ne laaltain thamay kamray k darwazy pr dastak di Jameel bhaiya ne andar any k leye kaha, Jameel bhaiya apne shair ko soch rahy thy unhon ne uss khatoon pr ghor nahi Kia kyun k wo hamesha apni nazryn khawateen k samny neechi hi rakhty thy ,wo khatoon laaltain mn tail daal kr jany wali thi k usne Jameel bhaiya se pucha k wo tail yehi rehna de ya le Jaye agr dobara zaroorat hui tou inky kamray mn hi ho ga. Jameel bhaiya uss awaaz pr thora chonk gaye unhy Laga tha k Amma ya phir kareeman buwa tail lai hon g lekin yahaan tou wo khari thi "Chammi" ,chammi ne jawab na pa kr ek martaba phir pucha tou Jameel bhaiya Hosh mn aye r kaha "g yehi Rakh dyn" chammi tail maiz pr Rakh kr chali gai lekin apne peeche Jameel bhaiya ko sakit kr gai jameel bhaiya ki nazryn ussi jagah tiki thi jahaan wo khari thi uski wo narm awaaz abhi tk unky kanoon mn goonj rahi thi jab wo kamray se bahir ja rahi thi tou usky paoon ki payal ki cham cham b Jameel bhaiya na bhool paye pta ni ek chingari si unky dil mn jal uthi thi r wo apne apko usky hawaly krne k leye tayar ho rahy thy.
Chammi pehle kabhi b iss trah Jameel bhaiya k kamray mn Akeli nahi gai thi chachi k kehne pr wo Bari mushkil se himat kr k kamray tk gai usse Jameel bhaiya se Koi khof ni tha bs shayed pardy ne thora mohtat kr dia tha Jameel bhaiya jaisy no jawaan se kis ko mohabat ni ho g mohaly ki Kai larkiyaan unky Bary mn Kia sochti hain Chammi ko sab maloom tha lekin wo unko nazAr andaaz hi krti Rahi pta nahi mohabat ka koi ghosha usky dil mn tha ya nahi wo nahi samj pai lekin yeh Baat wo hamesha se sochti rahi k Kia wo kabhi iss Ghar k Aangan ka hissa ban paye g .
Jameel bhaiya jo kafi dair se chammi k jany k baad apni sochon mn ghum thy ab Hosh mn aye r dobara shair likhne ki koshish ki achanak unko ek shair soojha r wo likh gaye shayed ye unky hi halaat ki bhar poor Akasi kr gaya tha.
آنگن میں ہجر تلے کوئی خواب جلاتا ہے
یہ عشق ہے مذہب سا یہ عشق خدا سا ہے

Shair likhne k baad wo safhaye samait kr apne Bistar pr Sony k leye laity lekin neend tou jaisy gaib ho gai thi unky kahayaloon mn bs sirf ek hi chehra tha r wo Koi ni chammi thi.
Hello readers I hope u like this part do share ur reviews and vote if u can.

Yeh ishq nahi asaan ~Aangan✔Where stories live. Discover now