#VeerZara ( Readers Choice )

130 17 29
                                    

Dedicated to : kaafi-ant-shant

P.S - I'm picking up the movies randomly so that no requests are ignored :)


Main kaidi number saath sau chiyasi jail ki salaakhon se bahar dekhta hoon ......

Din ,mahine,saalon ko yug mein badalte dekhta hoon

Iss mitti se mere bauji ke kheton ki khushboo aati hai

Yeh dhoop meri maati ki thandi chaas yaad dilati hai

Yeh baarish mere sawan ke jhoolon ko sang sang laati hai

Yeh sardi meri lodi ki aag sekh kar jaati hai

Woh kehte hain yeh mera des nahi
Phir kyun yeh mere desh jaisa lagta hai

Woh kehte hai main uss jaisa nahi
Phir kyun mujh jaisa woh lagta hai

Main kaidi number 786 jail ki salaakhon se bahar dekhta hoon
Sapne ke gaaon se utari
Ek nanhi pari ko dekhta hoon

Kehti hai khud ko saamiya aur mujhko veer bulati hai

Hai bilkul begaani par apno si zid karti hai

Uski sachi baaton se phir jeene ko mann karta hai

Uske kasamon vaadon se kuch karne ko mann karta hai

Main kaidi number 786 jail ki salaakhon se bahar dekhta hoon

Mere gaaon ke rangon mein lipti ek nayi Zara ko dekhta hoon

Mere khwaabon ko pura karte
Khud ke khwaab bhool chuki hai woh

Mere logon ki sewa karte
Apne logon ko chor chuki hai woh

Uska daaman ab khushiyon se bharne ko jee karta hai

Uske liye ek aur zindagi jeene ko jee karta hai

Woh kehte hain ki main aur mera des uska nahi
Phir kyun mere ghar woh rehti hai

Best Bollywood Movie Dialogues  #MissionDesi  Where stories live. Discover now