Tassaliyo par kese ji paata

654 29 4
                                    

Na shaak-e-gulnaar kabhi khilti
Na koi phool humare haath aataa

Na koi ummid bar hoti,na koi
Ummid par humey aitbaar ataaa

Yeh khalish hai dil ki,daleel deti hai
nibhaane se rishta nibh hi jaataa

Dil keh utha,hai gamgin woh bhi
tujhe ruswaa kar ke dil ki kya khe

suni thi dil ki kabhi,so hua hai aaj
Yeh haal behaal sa dil dhukaata

Mohabbat bhi ek podha hai
Paani na miley kese ugah pataa

Liye ehsaash sicha hai chaman
Kyu bhala Mausam-e-hizar aaajata

Mil bhi jaate kabhi,toh kya kis haal se
Uske apno se door rkh kar kese ji paata

Paigaam de jataa hai tanha mehtaab
Na meri mayyatt uth thi,na uske pehlu dafan ho pataa

Nahi kasoor uska khuch, tassaliyo par kese ji paata
Dooriya ka pyaar tha wajid,woh kese nibhaa pataa.!!

-Wajid Shaikh (@wajidsays)
#wajidshaikhpoetries

HER NAME IS MOON(Nonfiction Stories of Wajid Shaikh)Donde viven las historias. Descúbrelo ahora