khuda ne cahaa toh phir mulaakat hogi.

1.5K 57 5
                                    

Khuda jaane kab, yeh dil ki
kaifiyat tere Dil me aam hogi

Tere sehar,aagosh taley ek
roz zeest ki aabaru tamaam hogi

Na Azmaa mujhey,agar ab
Mar gya toh zindagi mubtala azaab hogi

iftiyaar,sehari,ya falak ka mehtaab
Tere bgair suni meri har shaam hogi

Dubte sooraj puur-noor mehtaab
Jab dekhu tere zikr ki barsaat hogi

khwaab hai tujhse milna Tere sehar,gali mein kabhi toh meri shaam hogi

Ashmaan mein,hasar me
Ya yahi tumse mulaakat hogi

Ek nazar dekh sakta bhi nahi ab
Is mohtaaz ki kya zindagi abaad hogi

khyaal seerane rakhkar,so jata hu tere
Isi bharm kbhi toh khwaab me mulaakat hogi

khte teh taa-umar yaad rakhoge
btaaoge is kadar bhoolne ki kya baat hogi

Khuda bhi sab jaanta hai maanta hai
uske insaaf ki kisi roz awaaz hogi

Jo hua hona tha hokar raha wajid
yakeenan uski bhi khuch saaz hogi

Khuda ne cahaa toh rubaroo bhi milege
khwaabo ki kya mjaaal hogi

Musafir hai tum bhi,woh bhi wajid
Phir kisi modh pr mulaaqaat hogi.!!
-Wajid Shaikh ( @wajidsays )
#wajidshaikhpoetries
IG:@iwajidshaikh
Zikr-e-Yaar
Part-22| 2022|Her name is moon

!!-Wajid Shaikh ( @wajidsays )#wajidshaikhpoetriesIG:@iwajidshaikh Zikr-e-YaarPart-22| 2022|Her name is moon

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
HER NAME IS MOON(Nonfiction Stories of Wajid Shaikh)Where stories live. Discover now