"Ab kaha kisi pe itna yakeen laayaa jaaye
kaha kisi ko,Haal-e-pareshaan sunaya jaaye"
Duniya ne is kadar khaamosh aur shakeen kr diya ke ab kisi par yakeen nahi hota,jo log kehte hai humara yakeen karo sab ek jese nahi sbse phle wohi badal jaate hai,yaha mishra is baat ko saaf btata hai ke humey kisi par yakeen nahi ke apna haal aur musibate btaau
___"Koi kaabil nahi iske ke nibhaa sakey khuch,woh aaya jaaye,ya phir be-wajah jaaya jaaye"
Yahaa yeh baat saaf tarike se kehdi gayi ke koi kaabil nahi kisi chiz ke nibhaane k liye har koi har kaam m bhala dhundta h apna chaaye woh pyaar hi kyu na ho,agla mishra iska hi jawaab h ke,har insaan aataa hai aur be-wajah chala jaata hai hum kis kis par yakeen kare aur intezaar kare
_______ "Kese waade-kesi umar bhar ki tamaam minatte
Socha kisi ko sunaakar usey hasaaya jaaye"
Logo ke jhuthey waade aur rasam se pareshaan ho kar yahan yeh kaha gya ke sabhi waade sabhi kasme jhoothi hoti hai,aur koi karta hai toh hasi aati hai,isi par dusre mishre mein kaha gaya hai,ke koi aur bhi kar raha hai umar bhar saath rehne ke waade aur phuch raha h haal kyu na puraane yaar ke waade sunaakar usey hi hasaa du, ke dekh tu jin waado ki baat kar raha hai,humne unke anjaam dekhakr ab bhool rahe h aur tum phir umar bhar ka waada liye aagye
________ "Aaye woh bhi mehfil mein gham baatne,jaane do ab jaane waalo ko na bulaaaya jaaye"
Hum jese tese sambhle zindagi ke makaam m aur phir khuch log humeu sambhaalne ka daawa karne aaye,unhone toh humey nhi sambhlaa aur hum unhe sambhaalne lage aur woh sambhle toh chaley gaye,iska dusra mishra yahi hai,ke ab kya roke usko jaane do jaane waalo ka na bulaaaya jaaye,kyuki jo ek baar jaa skta h dubaara bhi jaane se sochega nahi
________
Waakif hai logo se kya soch hai unki
Dil bhi rakho toh thukraaya jaaye
Insaan ko jo chiz asaani se milti hai uski kadar nhi ayr Jisme muskil ho uske liye rota hai,yaha zindagi aur logo ki soch ka aaina rakha gya hai,iska agla mishra yeh btalaata h ke phir chaaye khuch bhi krdo kisi k liye caahae taaj rkho sar ka,unhe kisi baat ka asar nhi hoga wajid koi aadmi nhi sudhrega tum apna hi udhaarahan lelo
KAMU SEDANG MEMBACA
HER NAME IS MOON(Nonfiction Stories of Wajid Shaikh)
Cerita Pendek"I'm still thinking that you're the good one.I hope you're happy, and you have learned that you're perfect. I'm here for you, never doubt of it. If someday I'm not here for you, it's because I'm dead. I love You, always 21 regrets filling my mindles...