//THIS IS A SUPER PERSONAL CONFESSION. IT IS IN HINDI AND ENGLISH, BOTH THE LANGUAGES.
THANK YOU. //if you both are reading this, it's for you. My best friends. My partners in everything. My well wishers of life. My everything :)
2017. Jab main physics ki kitaabon mein uljhi kahin baithi thi muh phulla kar, to uska ek message aiya.
Haan, hum best friends the.
Hum mile nahi, par best friends the. Hum teen. The best friend gang. Poora din mere phone ki ting tong ting karne wali wo do pagal.
Aqsar log long distance relationships mein hotein hai, par main long distance friendship mein jee rahi thi. Boyfriend girlfriend concept se mujhe koi Matlab nahi tha, bas ye dono bahut thi. Har subah whatsapp se lekr Instagram se yourquote aur phir wattpad aur waapis WhatsApp, poora din kachar kachar aur ek doosre ko Milne ke plans aur Newton ko thokna aur bas bina topic ke baatein karna. Yeh kuch aadat si ban gyi thi. Maano Mera dil hi chahta ho ki ye sab ho aur main inn dono se door hona ka soch bhi nahi sakti thi.March 2018 kab aiya kuch pata hi nahi Chala. Hum exams ke dauraan bhi ek dusre ki madad karte, bitching karte, Newton Franklin ko gaaliyaan dete, par saath rehte.
March 2018, hum mein se ek ko pyaar hua. Hum teeno bahut Khush. Ab jeeju saali ka nya relationship tha aur bas iss lamhe ko jeena tha. Tanak tanak message pe message. Breakup pe patchup. Calls pe video calls. Dosti aur gehri hoti gayi. Aur rishte aur bade. Pyaar karna bura nahi hai, par jab koi aapki best friend ko hurt karein toh uska muh aur tumhara mukka bas yehi dil kehta ha. Yuhi Meri dusri bhnn bhi pyaar mein aa padi. Ab bas bachi thi main. Aur jor shor se shuru hogya mere liye better half dhoondhne ka ye plan.August ka wo mahina. Jab hawaine kuch rukh badalti hain aur sukhi pattiya yu peron se girti hai aur mausam kuch yaadgar sa ban jaata hai. Inn dono ki tamanah rehte, pyaar ka ehsaas Hume bhi hua. Yeh wo feeling thi jiske liye main mare jaa rahi thi andar hi andar ab uchl rahi thi, main Khush thi. Aur wo dono meri khushi mein khush thi. Humne vaade karliye the Milne ke, saath waqt guzarne ke, yeh saare lamhe phirse jeene ke, aur jee ke baad jhatpat Milne ke. Ab Tak hum teeno mein ekdum wo eternity wala pyaar ho Chuka tha. Khushi thi sabke paas aur kuch maamuli problems jo ki ek dusre ki madad ke hum sulja lete. Jindagi kaafi sukoon thi. Par mausam toh har 3 mahine baad badalta ha aur humari dosti ko bas teen saal hone ko aane hi waale the ki wo December ka kambakt mahina, Meri jindagi mein bewafiye ki ek leher laiye. Humara ye ek rule ban gya tha ki har kisi ke bday pe hum teeno call karte aur poore raat kuch na kuch bolte rehte. Iss 28 December 12 baje bhi call aiya. Par wo conference call nhi tha. Wo maatr 20 second ki call aaj bhi mujhe yaad hai. Bas daurana nahi chahti. Message pe message the par wo sarnata tha Meri zindagi mein jo main kabhi bayaan nhi kar paiye. Galati unki nahi thi. Bas waqt sab badal deta aur main bekhabar in sab waadiyon mein ho rahi ladaiyoon se. Phir 3 mahine baad uske janam din pe jab Sach se sahmna hua toh bas shabd hi khokhle hogye. Aur kuch nahi bacha kehne ko. Wo purane dost, wo Whatsapp groups, wo spams, wo hasi, wo calls sab tham gya aur bas tham gya.
Zindagi aqsar badal jaati hai, tham jaati hai aur naye mud pe le aati Jahan se hum waapis nahi jaa paate, kabhi kabhi.
Waqt ne sab badal diya tha. Aur ye mere bas mein nahi ki wo lamhe main khudko lauta pau. Bas kaqdar karo uss waqt ki. Kya pta agle hafte aap bhi apne doston ko waapis phir na mile.Thanks alot for reading.
And if you ever had a breakup in friendship, you know how it feels like (:
It hurts more than breakup with bf/gf even.
It's true and it hurts the most. (:Taking off.
Chanpreet.
YOU ARE READING
Confessions~ the unspoken voice
General FictionThis book contains honest confessions on various issues. You will definitely find it relatable!