"Muhabat ho bhi skti hy"part 3

944 46 34
                                    



Iss bar arham kay gussay ki parwah kiye bagair us nay kaha tha.

Woh kb apni jagah say uth kar arham kay samnay khari hoi thi,anjan thi.

"Bolein arham agr mein na karon dastakhat tu ap kya karein gay.?"

"Tu is ka matlb tum nahi karo gi .?"

"Mein nay ye nahi kaha,mein ap say poch rahi hon kay na karon tu.?"

"Tu koi farq nahi paray ga..."

Arham ki baat usay pehly tu samjh nahi aai  lekin jab us nay usko bazo say pakr kar apnay kareeb khencha to usay samjh aaya woh kya keh raha tha.

Or phir uski agli baat nay us ki soch pay sach ki mohar laga di thi.

"Jab tum meri ho tu ,tu tum say juri har cheez meri hai........Tu chahe tum dastakhat karo ya na karo koi farq nahi paray ga."

Baray fakhr say jatlaya gya tha.

Uski baat par apni be-basi ka ehsas arishay ko shidat say hoa tha.Woh jo arham say baat karnay ka hosla aya tha woh ab kho gaya tha.

🌧🌧🌧🌧🌧🌧🌧🌧🌧🌧🌧

Ankhein khol kar us nay arham ki taraf dekha tha jo be-khbar so raha tha.

Uski neend barbad kar kay.

Thori daer woh us kay chehray ki taraf dekhti rahi.Agr us mein or baba kay chehron mein musha-habat na hoti tu woh kbhi iss baat ka yaqeen na karti kay woh baba ki sagi olaad hai.

Us kay chehray say nazrein hata kar us nay apnay itraf mein dekha tha,ye arham ka kamra tha.

Jab woh choti thi tb woh aksr baba ko iss kamray mein betha dekhti thi.Woh kai ghantay iss kamray mein bethay rehta,usay nahi pata tha woh iss kamray mein kartay kya thay lekin jab bhi woh kamray say nikaltay unki ankhein surkh or udas hoti thee.

Baba ki udasi hamesha usay udas kar deti thi,phir aahista aahista woh baba say israr kar kay un kay sath iss kamray mein aanay lagi.

Phir ghanto baba us say arham ki baat kartay.Mera beta aisa hai ,usay ye pasand hai,usay woh pasand hai.Dhair sari isi tarhan ki batein.

Kbhi baton baton mein un kay munh say najma ka zikr nikal jata,jab bhi aisa hota woh khamosh ho jatay.

Kafi daer khamosh rehtay.Phir dobara arham ki baat shuru kar letay.

Jab arham kbhi Lahore aata tb woh hamesha issi kamray mein rukta tha.

Ab bhi aisa hi hota tha.

Iss khayal par us nay dobara arham ki taraf dekha tha,or phir aahista say khud ko us kay hisar say nikala tha.

Sofay pay para dupata galay mein daal kar woh kamray say bahir aa gai thi.

Ghutan kay ehsas ko kam karnay kay liye woh sehan mein paray jholay par beth gai.

Na-janay q aj usay baba ki yad shidat say aa rahi thi.

Sari zindagi woh us kay liye duniya ki kaari dhoop mein chahon banay rahay or marnay kay baad bhi woh us kay liye ye sb chor  gaye.

Love/HateWhere stories live. Discover now