"Muhabat ho bhi skti hy"part 4

376 23 7
                                    


Arishay nay ek nazr sheshay mein apnay wajood ko dekha tha. Us ko Arham kay sath Karachi aye huay kuch haftay hi hoa tha or woh log kuch din pehle Arham kay dost kay gher say ho kar aye thay.Shayan or uski wife Nisha dono hi usay bohat achay lagay thay.Lagta hi na tha kay Shayan or Arham dost hein ,zameen asman ka farq tha dono mein.

Un say mill kay Arishay ko jahan ek taraf bohat acha laga tha wahin dosri taraf apni mehromiyon ka ehsas bhi shidat say hoa tha.

Ek acha muhabat karnay wala shohar aurat ki zindagi ko kitna asan bana deta hai.

Us kay khayalat kay silsilay ko darwazay par hoi bell nay tora tha.

Woh abhi kamray say nikalti iss say pehly hi mulazima darwaza khol chuki thi.

Us nay sehan mein majood ajnabi shaks ko herani say dekha , jo mulazima say koi baat kar raha tha.

"Ap kon.?"

Iss say pehly kay woh sawal pochti ulta woh shaks us say sawal poch raha tha.

"Ji.?"

Arishay nay herani say pocha tha.

"Ap Ji ho.?"

Udhar say utni hi herani say pocha gaya tha.

Us nay garbara kar mulazima ko dekha jo hansnay mein masroof thi.

Phir Arishay nay dobara us ko dekha jo ab shokh nazron say usi ko dekh raha tha.

"Ap ....ap kon hein.?"

"Pehley ap bataien mohtarma kay ap kon hein.?"

"Sahab ji,, in ka name Arishay hai.Arham sahib lay kay aye hein inhein apnay sath.Pyari hein na.?"

Mulazima kay ajeeb say taruf par Arishay nay usay ghora tha.

"Hmmm pyari tu hein lekin Arham nay ye kam kb say shuru kar diye .?"

Uski baat ka matlb smjhtay huay Arishay nay wazahat karnay ki koshish ki thi.

"Ap ..!!! ap galat samjh rahay hein."

"Tu ap sahi samjha dein."

Keh kar woh do qadm uski taraf barha tha.

"Dekhein ap..!!"

"Dikhaein ap."

"Ap...ap door reh kar baat karein or ..tameez say baat karein.Or ap hein kon.?"

Iss say pehly woh koi jawab deta us ka mobile bajna shuru ho gaya tha.

Ek nazr us nay mobile ki janib dekha tha phir mobile arishay kay samnay kiya tha,mobile pr arham ki call aa rahi thi.

Arishay nay herani say us shaks ko dekha tha jo ab call sun-nay mein masroof ho gaya tha.

Usay ye to nahi pata chala kay Arham nay us shaks say kaha kya tha lekin ab woh usay tameez say dekh raha tha.

Call band kar kay us nay mulazima say pani lanay ka kaha tha.

"Ap Muneeb sahib ki beti hein.?Mera matlb afreen sahiba ki.?"

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Jun 24, 2023 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Love/HateWhere stories live. Discover now