Ep-6. Nikkah

149 11 5
                                    

Kabhi Kabhi Pathar Kay Takranay Se Aati Nahi Kharash ,
Kabhi Ek Zara Si Baat Se Bhi Insaan Bikhar Jaata Hai.....💔

..............................

Wo horain ko ly kar aik veran si jaga par ly geya jahan wo aksar shikar k liye jata tha aur waha isky shikari dogs b hoty thy.

Horain ; yeh ap mujhe kahan ly  kar aye hain aur kiu laye hain ?

Asfandyar; apne sawal band karo tmhy hum islye nahi laye k tmhari bak bak sun kar time pass karun, tumhare pass sirf 1ghanta hai soch lo achy se insano ki trha nikkah karo gi ya phir humein koi aur tarkia azmana pare ga? Soch lo aram se 1ghanta hai molvi b ajayei ga tb tak.

Horain ; main tumse mar kar bhi nikkah nahi karun gi.

Asfandyar  ; khair marny toh hum tumhy nahi dein gy itni asani se tumhari jaan ab humare hathon mei hi hai ab hum bahir ja rahy hain  tum raho yahan kamey mei aur achy se soch lo aur bhagny ki ghalati b mat karna wrna mere shikari tiger bahir hi hain aik mint nahi lagayein gy tumhari haddiya khany mei.

Asfandyar ab horain ko kamry mei akela chor kar chala geya kamry mei halki light thi aur kamra b khofnak tha jse koi store room ho.
horain ko ab dar lag raha tha is kamry mei wo darwazy k pass gai toh wahan dog bandha howa tha wo wapis aa kr chair pr baith gai.theek aik ghanty bad asfandyar kamry mei aya.

Asfandyar ; molvi agaye hain ab koi tamasha mat krna.

Horain ; main tumse nikkah nahi krun gi samjhy tum.

Asfandyar Khan ko iske lehjy par boht gussa aya aur upr se ab wo tum tum kar k bat kar rahi thi.

Asfandyar ; tameez bholti ja rahi ho kiya ap kaho , aur humein majbur mat kro hum aik mint nahi lagayein gy tmhy seedha krne mei.

Horain ; kiu krun tumhari izat main ap is like hi nahi ho tum, cheekh kar boli

(Asfandyar ne horain ka hath zor se pakar kar usse b zeada unchi awaz se kaha.)

Asfandyar ; awaz neechy mjhe wo larkiya zehar lagti hain jo awaz unchi rakhti hain aur ab molvi ko andr bula raha hun koi tamasha kiye bagair nikkah karo.

Horain ; main yeh nikkah nahi karun gi.

Asfandyar ; ohhh achaa my sweet horain ab mujhe dosra tarika hi azmana pare ga aur ab apne walid ka naam btao nikkah namy par likhwana hai.

( horain ki ankhon mei ansu agaye yeh sun kar )

Horain ; main nahi btaoun gi.

(Asfandyar ne apni side table se gun nikali aur horain ke k samny rakh di )

Asfandyar ; ab btao apne walid ka naam tum aur agar hili ya koi fazol harkat ki toh tumhara bohat bura hal karun ga.

Horain ; mar do isse acha toh yehi hai, roty huye cheekh kar boli.

( asfandyar khan ne horain ka hath maroor diya aur wo chekhti reh gai )

Asfandyar ; bolo ab apne walid ka naam.

Horain ; nahi btaoun gi main.

Asfandyar ne aur zor se uska hath maroora jo wo bardash na kar saki aur wo cheekh kar boli.

Horain ; Waleed javed

Asfandyar ; gud

( Ye keh kar asfandyar ne isko chair par baithaya aur khud b dosri chair iske sath laga kar baith geya aur gun peechy se horain ki kamar par rakh di phir molvi ko andr bulaya toh sath mei gawahon ko bhi jo k iske dost thy jin par wo yaqeen kar skta tha )

Nikkah paryaha ja raha tha.

Molvi ; Horain waleed kiya apko wali Khan k bety asfandyar Ko 10lakh mehar k sath apne nikkah mei qabool karti hain?

Aik khamoshi chah gai thi pury kamry mei horain Kch na boli toh asfandyar ne gun horain ki kamar par thi us par zor dala toh horain ko hosh aya aur wo boli

Horain ; Qabool hai , Qabool hai , Qabool hai 3bar molvi k puchny par usne kaha.

Molvi ; Asfandyar Wali Khan kiya apko waleed ki beti horain ko apne nikkah mei qabool karty hain?

Asfandyar ; Qabool hai,Qabool hai.Qabool hai.

Nikkah ho chuka tha toh sb asfandyar se mill kar chaly gaye thy

Asfandyar ; my sweet wife bohat Mubarak ho tumhy humare nikkah ki, muskurahat mei shaitani thi jis se dimple nzr any lag geya.

Horain ; zehar lagty ho tum mujhe tmny zabardasti toh mjhse nikkah kar liya hai lakn main kabhi tumhari nahi houn gi.

Asfandyar ; ufff meri pyari hor abhi b ghalat fehmi nahi gai tumhari.

Asfandyar ne horain ko apni taraf khencha toh horain Aik dum dar gai aur boli.

Horain ; yeh kiya batmizi hai chorein aur hor bolny ka haq apko nahi hai bs meri dadi jaan ki hai .

Asfandyar ; hahaha kiu k tum humare nikkah mei ho ab aur haq tum achy se janti ho ab.

Horain ; tum boht hi ghatiya ho choro mujhe tumhy main esi larki nazar ati hun kiya.

Asfandyar ; yeh toh tum mat hi bolo tmhy us larky se zroori kam tha na , toh ab humein tmse kam hai hum toh phir tmhary mehrum Hain..., nafrat se kaha geya.

Horain ne aik zor dar thapar asfandyar k munh par Mara kiu k usne horain k character k bary mei bola.

Horain ; mujhe tumhy koi safai deny ki zroorat nahi hai itni ghatiya soch hai tumhari.

Asfandyar ko is harkat par bohat gussa aya aur usne horain ko zameen par dhaka diya aur bola.

Asfandyar ; sach hamesha karwa hi hota hai. Nafrat uske lehjy mei saf thi.

Horain khudi roty huye uth gai Asfandyar usko ly kar ab wapis uske ghr chor aya lkn wo ghr k andr nahi gai paidal chalny lag gai aur samundar par chali gai wahan usne apni sandals utar di raat ho chuki thi wo ab rait par chalny lagi aur Aik jaga ruk kar phir rony lag gai .

Horain ; ya Allah mere sath hi kiu esa hota hai kiu sari pareshaniya meri zindagi mei hain kiu akhir dadi jaan ne b mujhe jhoty khawab dekhaye k har koi aik jesa nahi hota , ( ab wo hickiyo k sath roty roty zameen par baith gai)
Unhon ne kaha tha k har koi tumhary maa baap jesa nahi hota hai , lakn nahi sb jhoot kaha tha dadi jaan ne sb Aik jse hoty hain aur meri qismat mei toh kisi ki mohabbat nahi likhi hoi hai kiu akhir kya itni buri hun main kiya itny gunah kiye hain mne mujhe maff krdy mere Allah mjhse aur aziyat nahi bardash hoti mere gunah maff kar dein. ( roti rahi wo ase hi kitni dair )
Allah toh behtar janta hai aur karta hai horain ko asfandyar k ilawa koi pyar itna kar b nahi skta tha lkn sirf ghalat-fehmi ki wajah se wo sakht bana howa tha. Allah k faisly behtar hoty hain aur Allah insan ko uski bardash se zeada nahi azmata)

Horain raat mei jb ghr gai toh dadi se chup kar apni kamry mei chali gai aur fresh hony chali gai taky dadi jaan ko koi shak na ho wo unko koi takleef nahi dena chahti thi wo fresh ho kar dadi k kamry mei chali gai.

Horain ; dadi ap soi nahi aj bhi abhi tak?

Dadi jaan ; nahi meri chanda kahan thi ap kb se aur khana b nahi khaya apne.

Horain ; main dost k ghr gai hoi thi sorry apko btana bhool gai apne khana nai khaya?

Dadi jaan ; nahi beta tunhre bagair kse kha leti.

Horain ; dadi ap bhi na ayein khana khaty hain phir apne dawai khani hai.

Khana kha kar horain dadi ko Sony ka keh kar apne kamry mei chali gai aur raat kb ankh lagi Kch pta nahi .

..........................
Assalam_o_Alaikum!
Guyzzz kesa laga apko yeh epi?

Like, comnt aur vote zroor karein.

Ghalat_fehmi🖤Where stories live. Discover now