Aadam (Alaihay Salam) Aur Bibi Hawwa (Alaihay Salam)

144 5 2
                                    


Hazrat Aadam (Alaihay Salam) aur Bibi Hawwa ko Zameen par Utara Gaya.

Aziz dosto …. jab Shaitaan mardood aur laanati ho gayaa toh uske Jannat me dakheele par paabandi lag gayee. ab woh jannat me dakheel nahi ho sakta tha.

✦ Aadam Alaihi Salam ki Takhleekh:

Hazrat Aadam (Alaihay Salam) jab uth kar baith gaye to unhe cheenk aa gayee aur tab Aadam (Alaihay Salam) ne Alhamdulillah ke alfaaz adaa kiye. Allah Subhanahu ta’ala ne Aadam (Alaihay Salam) ko Ilm aur Hiqmat ki baate sikhayee, garaz ye ki aaj duniya me jitni bhi Zubaane, Bhashaye, ya boli ya boli jaati hai woh sab aur duniya ke tamaam uloom sikhaaye aur taam chizo ke naam bhi sikhaaye. Fir Allah ta’ala ne tamaam Farishto ke samne Aadam (Alaihay Salam) ko huqm diya, “Aye Aadam ! bayaan kar jo bhi baate aur ilm, maine tujhe sikhaayee hai, agar tu sacha hai.”
Aadam (Alaihay Salam) ne woh saari baate aur woh sara ilm jo Allah ta’ala ne unhe sikhayee thi sab farishto ke saamne bayaan kar di. iss par tamaam farishto ne ek saath kahaa, “paak hai tu, Aye humaare Rab ! beshaq tu jo jaanta hai, hum wo nahi jaante,“ aur Allah ta’ala ne Hazrat Aadam ko jannat me rehne ka huqm diya, aur iss tarhaa Aadam (Alaihay Salam) jannat me rehne lage.

✦ Bibi Hawwa ki Takhleekh:

Jannat me khaane pine aur ghumne firne ko bahut kuch tha. lekin tanhaa akele hone ki wazah se Aadam (Alaihay Salam) udaas rehne lage. fir Allah ta’ala ne Aadam (Alaihay Salam) ki baayee pasli se Bibi Hawwa ko banaya. iss tarhaa woh dono ek dusre ka saath pa kar khushi khushi jannat me rahne lage. Allah ta’ala ne farmaaya, “tum dono jannat me jo chaahe khaavo piyo aur ghumo firo, lekin khabardaar uss mamnuwaa sajar (tree) ke paas mat jaana aur uss ka fal mat khaana warna tum log zaalimo me se ho jaaoge.” Ek riwayat me hai ki woh sajar gandoom (gehoo) ka tha ya uss se milta julta tha. (Allahu Aalam )
Riwayato me aata hai ke – Iblis ne saanp ki surat me Bibi Hawwa aur Aadam (Alaihay Salam) se mulaaqat ki aur kahaa, “mai tumhaara khairkhawaah hoon, tum dono ne jannat ke uss sajar ka Fal (fruit) kyon nahi khaaya ?. is par wo dono boley ki, “hume Allah ta’ala ne uss sajar se door rehne ke liye kahaa hai, isiliye hum ne wo fal nahi khaaya.”

✦ Shaitan ka Aadam aur Hawwa ko behqaana:

Jab Aadam (Alaihay Salam) so gaye toh Shaitaan ne Bibi Hawwa ko behkaaya aur kahaa, “Allah ta’ala ne tumhe wo Fal khaane se isiliye manaa kiya hai ki kahi wo Fal khaa kar tum farishte na ban jaawo aur hamesha ke liye jannat me na rahne lago.” Bibi hawwa ne shaitaan ke bahkaave me aakar wo fal khaa liya aur jab Aadam (Alaihay Salam) so kar jaage toh unhe bhi bahut israar kar ke wo fal khilaa diya.”
Jaise hi un dono ne wo Fal khaaya unka jannat ka libaas utar gayaa. aur wo dono Sharam ke maare apni apni Sharmgaah chupaane lage. tab hi Allah ta’ala ne kahaa, “Maine tum se nahi kahaa tha ki uss sajar ke paas mat jaana aur uska fal mat khaana. tum dono ne apni jaan par Zulm kiya.” Aadam (Alaihay Salam) ko apni galti ka ehsaas huwa. unhone Allah ta’ala ki baargaah me apne gunaaho ki muafi maangi.
Allah ta’ala ne isi Wakiye ko Quran me youn bayan farmaya aur kaha,
“Tab Shaitan ne Aadam aur Hawwa ko dhoka dekar waha se dagmagaaya aur Aakhirkaar unko jis (aish wa rahat) me they unse nikal feka aur hum (Allah) ne kaha (Aye Aadam! wa Hawwa) tum Zameen par utar pado. tum me se ek ka ek Dushman hoga aur Zameen me tumhare liye ek khas waqt (Qayamat) tak thehraw aur thikana hai.”
– (Surah Baqrah 2:36)
Reference(Qasas-Ul-Ambiya Roman Urdu Script by Mohammed Rafique)
To be continue …

 The Prophet stories Where stories live. Discover now