Aadam Ke Bete Habil Aur Qaabil

81 5 3
                                    

Hazrat Aadam Ke Bete Habil Ka Roo-e-Zameen Par Sabse Pehla Qatl

Jab UnKo Jannat Se Zameen Par Utaara Gayaa Toh Baaz Tarikhi hawalo se Pata Chalta hai ke Aadam (Alaihay Salam) Ko SriLanka Me, Bibi Hawwa Ko Arab Me Aur Shaitaan Iblees Ko Asfaan Me Jo Ki Arab Ke Aas Paas Hi Koi Jazira Tha. SriLanka Me Ek Bahut Bada Insaani Qadmo Ka Nishan Hai. Kitaabo Me Likha Hai Ki Shaayad Wo Nishaan Aadam (Alaihay Salam) Ke Qadmo Ka Hi Hai. (Allah-U-Aalam).

Duniya Me Aane Ke Baad Aadam (Alaihay Salam) Aur Bibi Hawwa Kayee Sau Baras Alag-Alag Bhatkte Rahe, Rote Rahe Aur Apne Gunaaho Ki Maafi Maangte Rahe. Fir Ek Wakt Allah Ta’ala Ne Aadam (Alaihay Salam) Ki Duwaa Qabool Ki. Aadam (Alaihay Salam) Aur Bibi Hawwa Bhatakte Huve Makkah Ke Paas Mina Ke Maqaam Par Pahoonche, Wahaa Par Ek Pahaad Hai Jahaa Par Unka Milan Huwa. Uss Pahaadi Ko Jabal-e-Rahemat Kahete Hai. Kyonki Uss Par Aadam (Alaihay Salam) Aur Bibi Hawwa Ka Milan Huwa Aur Allah Ta’ala Ki Rehamat Naazil Huyee Thi.

Woh Dono Ek Dusre Ko Paa Kar Bahut Khush Huve Aur Allah Ta’ala Ka Shukr Adaa Kiya. Ab Wo Dono Saath Me Rahne Lage, Uss Waqt Unhe Judwaa Aulaade Hoti Thi Ek Ladka Aur Ek Ladki. Uss Waqt Insaani Aabaadi Toh Thi Nahi. Isiliye Uss Waqt Ye Shariyat (Qanoon) Tha Ki Pahle Paida Huve Ladke Ka Dusri Baar Paida Huyee Ladki Ke Saath Nikaah Aur Dusre Ladke Ka Pahli Ladki Ke Saath Nikaah Hota Tha. Pahela Jo Ladka Tha Uss Ka Naam Qabil Tha Aur Dusra Jo Ladka Tha Uska Naam Habil Tha. Lekin Jo Ladki Qabil Ke Saath Paida Huyee Thi Woh Jiyaada Khubsurat Thi, Aur Jo Ladki Habil Ke Saath Paida Huyee Thi Woh Kum Khubsurat Thi.

Qabil Ne Apne Saath Paida Huyee Ladki Ke Saath Nikaah Karne Ki Baat Ki. Jab Ki Shariyat Ke Hisaab Se Uska Nikaah Habil Ke Saath Hona Tha. Lekin Qabil Na Mana. Use Aadam (Alaihay Salam) Aur Bibi Hawwa Ne Bahut Samjhaya Par Woh Zid Par Adhaa Raha. Tab Aadam (Alaihay Salam) Ne Kahaa Tum Dono Allah Ta’ala Ke Huzur Me Qurbaani Pesh Karo Jis Ki Qurbaani Qabool Hogi Wohi Pahli Ladki Se Nikaah Karega. Jab Dono Ne Apni Apni Qurbaani Ek Pahaadi Par Pesh Ki To Habil Ki Qurbaani Qabool Huyee Qaabil Ki Qurbaani Qabool Na Huyee. Shaitaan Iblees Ne Qabil Ko Bahkaaya Ke Tum Habil Ka Qatal Kar Do, Woh Hi Na Rahega To Tumhara Nikaah Paheli Ladki Se Ho Jaayega.

Ab Qabil Mouke Ki Talaash Me Rahne Laga. Ek Din Uss Ko Mouka Mil Gaya Aur Usne Habil Ka Qatal Kar Diya. Qatal Karne Ke Baad Usko Samjh Na Aaya Ke Habil Ki Laash Ka Kya Kare. Usse Dar Tha Ki Koi Dekh Na Le. Isiliye Woh Habil Ki Laash Ko Kandhe Par Uthaaye Firta Raha. Tab Allah Ta’ala Ne Do Farishto Ko Bheja Jo Kawve (Crow) Ki Shaqal Me Aaye Aur Qabil Ke Saamne Ladne Lage. Baad Me Ek Kawve Ne Dusre Kawve Ko Maar Daala Aur Apni Choch Se Mitti Khod Kar Uss Me Dafna Diya.
Qabil Ye Sab Dekh Kar Bahut Pashemaan Huwa Aur Kahaa, “Haye Re Meri Bad Bakhti, Ke Mai Kawve Se Bhi Gayaa-Guzra Huwa Hoon. “Fir Usne Bhi Gadhdha (Qabar) Khod Kar Habil Ko Uss Me Dafna Diya. Aur Yahee Se Murdo Ko Dafnane Ka Riwaaz Shuru Huwa.

Aziz Dosto Ye Zameen Par Kisi Insaan Ka Ye Pahela Qatal Tha. Isiliye Riwaayato Me Aaya Hai Ki Iske Baad Zameen Par Jitne Bhi Qatal Hoge Uska Vabaal Qabil Ke Sir Par Bhi Hoga. Jo Qatal Karega Uss Ke Sir Par Toh Hoga Hi Hoga.

Reference(Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)

To Be Continue 

 The Prophet stories Where stories live. Discover now