Yunus (Alaihay Salam)

53 4 3
                                    

• Hazrat Yunus (Alaihay Salam) Ka Machali Ke Pait Ka Safar.
A

ziz Dosto, Hazrat Yunus (Alaihay Salam) Ko Allah Ta’ala Ne Qoum Ninwaa Ki Taraf Bheja, Jo Ki Qadeem Baabal Shahar Ke Paas Ka Eik Shahar Tha. Yunus (Alaihay Salam) Ka Zamaana Isaa (Alaihay Salam) Se Taqreeban 800 Saal Pahele Ka Hai. Ye Qoum Bhi Boot Parast Thi. Aur Unhone Lagbhag 1,00,000 Bani Israyeel Ko Qaid Kar Ke Rakha Tha. Yunus (Alaihay Salam) Ne 7 Saal Tak Haq Ki Daawat Di Yaani Ki Tableeg Ki. Lekin Jab Unki Qoum Par Iss Daawate Haq Ka Asar Na Huwaa Aur Wo Apni Boot Parasti Me Lage Rahe Toh Yunus (Alaihay Salam) Ne Aakhir Me Allah Ta’ala Ke Azaab Ki Dhamki De Di, Unki Qoum Ne Fir Bhi Parwaah Nahi Ki.
Jab Azaab Ka Muqarrarah Waqt Qareeb Aa Gaya Aur Azaab Ke Aasaar Nazar Na Aaye Toh Yunus (Alaihay Salam) Allah Ta’ala Ki Izaazat Ke Bagair Hi Apni Qoum Ko Chhod Kar Chale Gaye. Idhar Jaise Hi Yunus (Alaihay Salam) Apni Tashreef Le Gaye. To Unki Qoum Par Azaab Ke Aasaar Nazar Aane Shuru Ho Gaye, Kaale-Kaale Baadal Chhaa Gaye Ghana Kaala Dhuwaa Unki Qoum Ki Taraf Badhne Lagaa.
Qoum Ne Yunus (Alaihay Salam) Ko Talaashna Shuru Kiya Lekin Woh Nahi Mile. To Unki Qoum Khud Hi Apne Biwi Bachcho Aur Yahaa Tak Ki Apne Jaanwaro Ke Saath Ek Maidaan Me Jamaa Ho Gayee Aur Allah Ta’ala Ki Baargaah Me Ro Ro Kar Apne Gunaaho Ki Maafi Maangne Lagi . Allah Ta’ala Ne Unn Par Se Azaab Ko Taal Diya.
Kisi Bhi Kaafir Qoum Ki Taareekh Me Aur Allah Ta’ala Ki Sunnat Jaariya Me Ye Paheli Misaal Hai Ki Azaab Dekhne Ke Baad Kisi Qoum Ka Imaan Laana Faayedemand Saabit Huwaa. Nahi Toh Allah Ta’ala Ki Sunnat Ya Tarika Yahi Hai Ki Ek Baar Azaab Ka Waqt Muqarrar Ho Jaaye To Fir Taltaa Nahi.
Yunus (Alaihay Salam) Apni Qoum Se Door Chale Gaye. Lekin Woh Aate-Jaate Musaafir Se Apni Qoum Ka Haal Dariyaaft Karte. Jab Unhe Maaloom Huwaa Ki Allah Ta’ala Unki Qoum Par Se Azaab Taal Diya Hai To Bhi Woh Waapas Nahi Gaye. Kyonki Unki Qoum Ne Unn Ko Jhutlaaya Tha. Isiliye Unki Gairat Ne Ganwaara Na Kiya Ki Woh Waapas Jaaye.
• Machali Ke Pait Ka Safar:
Ab Chalte-Chalte Raaste Me Ek Dariyaa (Samundar) Aaya. Yunus (Alaihay Salam) Ek Kashti (Naav) Me Sawaar Ho Gaye. Kashti (Naav) Jab Majhdhaar Me Pahunchi Toh Hichkole Khaane Lagi. Kashti (Naav) Me Jitne Bhi Log Sawaar The, Unn Me Se Ek Ne Kahaa, “Lagta Hai Ham Me Se Koi Ek Gunaahgaar Iss Kashti Me Sawaar Hai. Hame Qurra Andaaji Karna Chaahiye Ki Woh Gunaahgaar Koun Hai”.
Teen Bar Qurra Andaji Ki Gayee Aur Teeno Baar Yunus (Alaihay Salam) Ka Naam Nikla. Kashti (Naav) Ke Musafiro Ne Yunus (Alaihay Salam) Ko Dariya (Samundar) Me Daal Diya. Wahaa Ek Badi Machli (Wheal Fish) Ne Yunus (Alaihay Salam) Ko Nigal Liya. Is Tarhaa Yunus (Alaihay Salam) Machli Ke Pait Me Pahooch Gaye.
Kayee Dino Tak Woh Machli Ke Pait Me Hi Rahe. Wahaa Unhone Allah Ta’ala Se Ye Duwaa Ki, “Aye Allah Ta’ala Koi Nahi Ma’abood Siwaaye Tere, Tu Paak Hai, Aur Maine Hi Apni Jaan Par Zulm Kiya. Aye Allah Ta’ala Mere Khataao Ko Muaf Kar De”. Allah Ta’ala Ne Yunus (Alaihay Salam) Ki Duwaa Qabool Ki. Aur Iss Tarhaa Machli (Fish) Ne Unko Kinaare Pe La Kar Ugal Diya. Aur Woh Apni Qaum Ki Taraf Lout Gaye.
Reference(Virtual study of Mohammed Rafique, Qasas-Ul-Ambiya)

 The Prophet stories Where stories live. Discover now