Raat ke 12 bajah rahe the aur Aditya Zoya ko dhund raha tha, lekin woh usse kahi bhi nahi mili.
Aditya - Victor, kya tumne Zoya ko kahi dekha hai.
Victor - ha Adi sir Zoya ma'am terrace ki aur gayi hai.
Aditya - thik hai tum jaao. Zoya iss waqt terrace par kya kar rahi hai, jaa kar dekhata hu.
(Arjun Zoya dono terrace par hi the)
Arjun - Zoya tum pakka ye sab karna chhahti ho, tum jaanti ho na bhai ko bhooto se bilkul bhi dar nahi lagta.
Zoya - aap fikar mat kigiye arjun, joh hum karne waale hai usse Aditya zaroor dar jaayenge aap dekhana.
Arjun - par zoya.
Zoya - shh... Arjun lagta hai Aditya aa rahe hai, aap waha jaa kar chhup jaaiye.
Arjun - okay Zoya, best of luck.
Zoya - shukriya Arjun.
(Arjun pillar ke peeche chhup jaata hai)
Arjun - Best of luck bhai, please please darna mat, apne chhote bhai ki laaz rakha lena. Please God bhai ki help karna.
Aditya terrace par aa jaata hai aur Zoya bhi apne bhootah character me. Zoya terrace ke corner side me khadi neeche ki aur dekh rahi thi.
Aditya Zoya ko back hug karta hai.
Aditya - mujhe nahi pata tha zoya tum itani romantic ho, mujse milne ke liye raat 12 bajhe sab se chhup kar aayi ho.
Zoya koi response nahi karti toh Aditya phir se usse puchta hai.
Aditya - kya hua Zoya? tum chhup kyu ho?
Zoya aawaz change kar serious tone me kehti hai
Zoya - kya bolu Adi? ha.
Aditya - kya keh rahi ho Zoya? tum toh mujhe Adi keh kar nahi bulati.
Zoya - Zoya nahi bulati, magar me toh bulati hu na Adi.
Aditya ko kuch samaj nahi aata ki aakhir Zoya aise kyu behave kar rahi hai, aur woh Zoya ko apni aur turn karta. Aditya Zoya ko dekh hehraan ho jata hai kyuki Zoya ke chehre par na koi expression tha aur na hi aankho me koi feelings.
Aditya Zoya ke chehre par apna haath rakha kar puchata h
Aditya - kya hua hai Zoya? kahi tumhari tabiyat toh kharab nahi.
(Zoya Aditya ka haath apne chehre se jhatak deti hai, aur thode gusse me )
Zoya - kaha na Zoya nahi hu me, nahi hu Zoya ek baar me samaj nahi aata h kya tumhe Adi.
Aditya - tum kya bole jaa rahi ho, mujhe kuch samaj nahi aa raha hai.
(Zoya,Aditya pass aa kar uske ear me kehti hai ki )
Zoya - Adi me Zoya nahi, Ruhaana hu, tumhari ruhaana.
Aditya - Ruhaana kon? me kisi ruhaana ko nahi jaanta. Zoya please agar ye koi mazak hai toh me keh deta hu bahut hi gatiya mazak hai.
Zoya - oh come on Adi tum mujhe nahi pahchante me tumhara phala pyaar hu aur aakhari bhi.
Aditya - Zoya ho kya gaya hai tumhara, ab chalo mere saath. (Aditya Zoya ka haath pakad kar waha se jaane ki koshish karta hai par jaa hi pata. Aditya Zoya ki aur mudhta hai)
Aditya - ye kya tum ek hi jagah par kese? (Aditya ko samaj nahi aa raha tha ki uske itana force lagane par bhi Zoya waha se ek inch bhi nahi hili )
YOU ARE READING
Bepannaah - Do pal pyaar ke(Completed)
RomanceIt's a little n lovely, cute story about two different person - Aditya n Zoya. jinki raahe kahane ko toh ek dusre se bilkul zuda thi, par na jaane kyu kismat ko kuch aur hi manzur tha. Iss kayanat ne ya kahe God ne inki takdeer me bepannaah moha...