Paidaish

51 6 2
                                    

Zindage Allah ki naymaato sa aik buhat bare naymaat ha. Allah na Apne bando k liya ne tahasha naymaate  paida ki take wo uski de hue naymaat zindage ka lutf utha saky.

Zindage jese naymaat ka lutf Karachi ma rehny wale do Bhaiyo na bhi khoob utha. Nasir apne ghr ka bara beta tha ma baap k marne ka bad usna apne choty bhai Asif ko bht smbhala aur apne bache ki tarha parwarish karke usa kabil insan banaya.

Nasir shakal o soraat ka aitbaar sa kafi pur kashish tha, ghane kale baal, achi jismaat, munasib qad aur ik khush ikhlaaq banda tha chehry pa halki si dari aur masomiyat sa bari hue thi. Nasir shadi shuda tha aur uska ik Beta tha. Asif apne bare bhai k muqable ik mamoli si shakal o suraat k malik tha. Nasir na uski tarbiyat ma koi kasar nhi chori thi ise liya adatan aur fitratan wo bhi ik acha insan tha. Asif bhi shadi shuda tha aur usky han bh ik beta tha.

Nasir aur Asif rehty tu Karachi ma thy lekin unka taluq Sawat sa tha, Jab Nasir paida hone wala tha tu usky ghr wale  Karachi muntaqil hogae thy, qunka us waqt sawat ma sehat ki saholiyaat aj k muqable ma blkul na hone ka baraber thi, ise liya Nasir ka Abba Rasheed khan na faisla kiya ke wo shehar ki taraf jake wahe rahenge. Rasheed Khan apne  apne gaon k ik pur asar shaks tha jisky taluqat buhat sa namwar logo k sath tha. Rasheed Khan paishe sa zameendar tha aur unky abbao ajdad bh zameen dar thy is lehaz sa Rahseed khan ko doulat k aitbar sa koi kami nhi thi. Beta ki paidaish sa qabal Rasheed khan na apne sare zameena, janwer sb bech kar Shehar rawana hua, usna waha sirf apna ghr chora take jab kabhi wo waha ae kese kam sa tu usa rehna ma koi takleef na ho. 

Rasheed khan sb bech bach k Karachi muntaqil hua aur waha us na apne jan pehchan ka logo ki madad sa Karachi ma aik ghr liya, aur karobar karne k liye dukanain bhi khareedi. Karachi muntaqali ka bad kuch he maheeno ma usko Allah na bety jese naymat sa nawaza Rasheed bety ki paidaish pa behad khush hua aur usna apne bety ki paidaish k jashan bht dhoom dham sa manaya, bety ki paidaish sa usa qarobar ma bhi kafi taraqi mili aur wo apne bety ki paidaish ko apne liya khush bakhti smjh raha tha.

Aulaad ki paidaish chae beta hu ya beti wo apne ma baap k liya khush bakhti he ban ky ate ha aur wo apna anseeb sath lekar ate ha lekin afsos hamre mashry ma ya sub kuch sirf bety ki paidaish pa smjha jata he..

Rasheed na apne bety k name rakh liya ik takreeb rakhi jis ma us na as pas k logo aur apne Karachi me rehna wale dosto aur rishtydaro ko bulaya. Imam k hatho apne bety k Kan ma Azan dilwae, aur Imam sa mushwraat krke usna apne bety ka name Nasir rakha. Hospital ma uski paidaish par logo na buhat sa name tajweez kar rakhy thy Riaz, Ali, Rehman Abbas. khud unki beghum saima na bh ik name tajweez kiya sultan lekin jese Rasheed ko sirf Nasir name shrow sa he pasand tha ya us na soch ky rakha tha. Rasheed Ki biwi Najma ik dehati khatoon thi jinki zindage ka maqsad sirf apne khawand ky hukum ki tabeer karna ha. 

Nasir behad khobsuraat bacha tha, aur wo buhat sehatmand paida hua tha. Nasir ko Rasheed na behad piyar sa pala tha aur uski har khuwaish aur zaroriyaat ka pora pora khayal rakha, aur usa achee taleem dilwane k liya usa achey school ma parhaya aur sath sath us na uski tarbiyaat blkul wese ki jese uski hue thi. Nasir ki paidaish ke 5 saal bad Rasheed ka dusri aulaad paida hue aur khush kismaati sa usko is bar bhi beta he naseeb hua. Rasheed ki tu jese khushi ka koi thikana he nhi tha aur kio na hu wo khush kion ke jis mashree sa wo taluq rakhta ha aur jis khandan ma wo pala abra tha waha bety ki paidaish ko bht khush qismati smjha jata tha. Rasheed na apne dusrey bety ki paidaish ki khushi bh bht dhum dham sa manae aur usky name khushi k ahtemam bh us na blkul wese kiya jese apne pehly bety Nasir ka kiya tha. Dusrey beta k name us na apne Dada k name k nisbaat sa rakha Asif.

Rasheed ki zindage k paeya bht achey sa chal raha tha, 2 bety acha karobar usa jese zindage m kese aur cheez ki zaroraat nh thi, lekin Zindage ka sub sa bara such yahe ha kusky ikhtetam k waqt jaga aur tareqqa kese ko nhi pata hota. zindage bht taizi sa agey barhty gae kab Rasheed burha hone laga usa andaza he nhi hua. Zindage k sub sa bara dukh ussa jab laga jab uski biwi ki qudraati mout  mari Najma sehat k aitbar sa bht tandrus thi usa koi bemari koi kamzor i kuch nhi tha, wo apna sara kam khud karti thi, gaon dehat ma rehna wale Najma k shehar ki hawa kuch na bigar saki wo ik ghareelo khatoon thi.  Dupher ka do baje jab wo apna sara kam khtm karke namaz parh k aram karne k liy leti tu wo dubara uthi he nhi. Rasheed ko apne begum ki mout k bht afsos tha, aur sath he sath apne bacho ki ka wo abh itne bare nh hue thy. 

Najma ki mout k bad Rasheed ki pareshanio ma mazeed izafa hua, usko apne bacho ki mustakbil ki fikar lagne lage, usna khud bh ziyada taleem hasil nhi ki tu usna apne bacho k liya bh yahe socha k unko daswe k bad dukan pa apne sath lagaonaga take unhe duniya dari aur dukan dari k smjh ho aur dukan dare k sath wo chae tu 11 aur 12 jamat tak parh le. aur Nasir k daswee jamat k imtihanat k khtam hoty he Rasheed usa apne sath dukan lejane laga, shrw shrw m wo usa thory waqt k liya sath lejaya karta aur phr ghar chordeta tha kuch din esa chalta raha, ahista ahista Nasir karobar k taur tareeqa sekhta gaya. ik saal k ander ander nasir sub kuch seekh gaya tha. nasir na apne parhae chor di thi aur wo ziyada time ab karobar ko dena lag gaya tha. Rasheed na Nasir ko apne karobar apne bank accounts ki sare tafseel har cheez sa agha kar rakha tha k agr usa kuch hua tu uska beta un sb ko phr achey sa smbhal sake.

Rasheed ko kese kaam sa Sawat jana par gaya tha, aur pechy abchey akele thy tu usna socha wo jahaz sa ae aur jae take uska bache ziyda dair k liya akela na reh jae, lekin usko kiya khabar ya uski zindage k akhri safar tha. Rasheed jis jahaz ma sawar tha wo kese takniki kharabi ka baees tabah hogaya aur Rasheed bh use ma halak hogaya tha. RAsheed k dono bacho k liya ya sb ik bht bara saneeha tha. Nasir apne baap k qabar pa apne choty bhai Asif k sath betha hua tha aur usa wo sare batain yaad ane lage th jo uske abu na usa kahe thi. Nasir tmha apne choty bhai k bht khayal rakhna hoga ma bura ho raha hu aur shyd ziyada din zinda na reh pao tmhais qarobar ko apne bhai ko smbhalna ha tm bare hu ya sb tmhare zimadari ha. ya baat yaad ate he usna apne bhai Asif ki taraf dekha aur uske sar p piayr sa hath rkha aur jhuk kar usa ke sr ko chuma aur usa apne sath ghr legaya. Jun Jun waqat guzarta gaya dono bhaio na ik dusre ko smbhala aur daswe jamat k bad Asif na bh bhai k hath bathana shrw krdiya. Waqt k sath sath ik dusrey ko sahara dety hue dono barey hue, dono na shadi ki.

Dono na shadi apne khandan ma he ki apne pasand sai. Nasir ki biwi Faiza aur Asif ki Biwi Tahira dono apas ma behan thi. aur unky sage mamu ki betiya thi, wo dono bh Sawat sa taluq rakhti thi aur un dono na apne taleem bhi wahe sa hasil ki thi.

Nasir k bety ki paidaish k 2 saal usky haan Beti paida hue, Allah na Nasir ko apne rehmaat sa nawaza. Kehty ha jab Allah apne bande sa khush hota he tu us bande k han apne rehmat bhejta  he. 

RehmatWhere stories live. Discover now