Kiya Yahe hai Zindage.

20 3 1
                                    


Sonia ki paidaish shrw shrw ma uska ghr walo ka liya khushi ki baes bani, sub achey sa chalne laga najane phr esa kiya hua ky Nasir na ahista ahista apne beti par tawaja deni chor de, wo ab apne beti ko wese piyar nhi karta jitna wo pehly kar raha tha, Nasir ka ye rawiya uski biwi na bhi note kiya.

Raat k 9 baje thy he, ghr ma aik awaz gunjh ne lagti thi, ajae khana tayar ha, hath mu dho ke jaldi ajae. Faiza aur Tahira dono apas ma behna thi aur wo khud bh ik ese ghr sa ae ha jaha ik sath rehna aur ik sath khane peena ma yaqeen rakhty thy. Gao ky muqabale shehar ki zindage aksar mukhtalif hoti ha waha ghr k sehan ma pora khandan ik sath bethy ke khana khata tha, aur shehro ma ye rewaj bht he kam dekha jata he, aur itifaq sa Nasir aur Asif jis society ma reh rahe thy waha ye sub cheezain ziyada aam thi. Agae ji agae Nasir aur Asif drawing room ma sath bethy apne dukano ka hisab dekh rahe thy. Nasir Bara tha tu bech ma beth ta tha aur ye inke khandan k rewaj tha k ghr k bara hamesha bech ma he beth ta he. Nasir k sedhy hath ki taraf Asif aur usky biwi bachey aur Nasir ke ulta hath ki taraf usky biwi bachey bethy th. Asif apne bhai sa bht piyar karta he qunke abu k jane k bad jis tarha sa usne isko smbhala tha wo us waja sa apne bhai sa aur ziyada muhabat aur ahitram karta tha. Ghr ma Nasir ki ziyda chalti thi aur jo wo kehta wo baat sub ko manni parti thi, Lekin Nasir jo bhe faisla karta us ma sab ki razamandi janta phr faisla karta jis ki waja sa unky ghr ma larae jagra aur ese koi burae nhi pae jati thi. 

Khana khaty hue Nasir aur Asif apne bacho ko khana sath sath he khilaty thy piyar sa. Asif k ik he beta tha tu uske taraf koi masla nhi hota, magr Nasir ki taraf ya masla tha qunke uski aik beti aur beta tha. jese jese beti bare hone lage uski mutwaja beti sa ziyada beta k liya hoti thi aur ya baat waha betha koi bh shaks asani sa jan skta tha, lekin is cheez sa kese koi aitraaz bhi nhi tha, inke khandan ma larkio ko koi khan izzat aur maqam nhi diya jata tha. Sonia lakh koshish karti wo apne baap tak ya uske baba k hath us tak nh ata tha kionke bech ma hamesha Faiza beth thi the. Khane ma betne ki tarkeeb kuch yun hua karti the Nasir phr Azhar Nasir k bara beta phr faiza aur phr Sonia. Blkul ese tarha Asif phr uska beta Ahmer Phr Tahira. Beta hamesha baap k kareeb aur beti ma ky kareeb. Ya farq ya andaz unke pushto sa chala araha ha is liya ye sub kese ko bh mayob nh lagta tha.

Nasir ka shrow ma beti sa muhabbat karna piyar dena waqt dena shrw shrw ma faiza ko behad khushi deti thi qunka uske khayalaat apne ghr walo sa bachpan sa he mukhtalif thy, jab wo Nasir ki god ma apne Sonia ko dekhti tu usa behad khushi hoti k jo piyar aur martaba uska bachpan ma usa nh mila shayad yaha ab iske apne ghr ma iski beti ko wo sub milega jo inke abao ajdad k door sa betio ko nhi mila, aur waqat k sath sath Nasir ka badlta rawiya usa chubne laga usna soch liya tha k wo aj Nasir sa is bare ma baat zaror karege.

Khane ka bad jab Nasir apne kamre ma betha sukon sa t.v dekhna ma masroof tha, tu Faiza do cup chae leke ae aur uska baraber ma beth gae, Nasir na cup uthaya aur chae k cup labo pa rakh ky chuski le, Nasir ko adat the hamesha sa garam chae peena ki. Faiza baraber ma bethi zara soch ma doob gae ky wo kis tarha Nasir sa baat kare.

Kiya hue muhterma kis soch ma gayab he aap? Chae ki chuski lety hue Nasir na Faiza k hatho ki harkat aur labo k ahista ahista hilna aur mathe pa pareshani dekh li thi.
Kuch nhii bs wo ap sa ik baat karne thi,,  chae ky cup m dekhty hue Faiza na bola. Faiza jab bh kese baat sa pareshan hoti tu wo uska chehry pa saaf nazar ajata tha.
Nasir: Faiza ki taraf mutawaja hoty hue bola, pareshan mat hu jo dil chae pochu halki si muskurahat dene k bad Nasir na chae ki chuski li.
Nasir k khush gawar mood ko dekh kar Nasir na foran pocha; Nasir ma bhuat khush thi jab shrw shrw ma ap Sonia ko god m liye piyar karty thy, usa waqt dety thy.  Nasir na apna cup table pa rakha aur aik achey shohar ki tarha apne biwi ki baat sunny laga. Mujha lagta tha jese jo piyar mujh apne bachpan ma beti hone ki waja sa nhi mila wo shayad meri beti ko milega tum sa lekin ma dekh rahe kafi waqt sa ahista ahista apka dehan Sonia ki taraf sa hatta ja raha he esa q Nasir kiya betio ka haq nhi ke unhe bh apne ghr ma wo piayr mile jo beto ko milta ha, wo abhi bache ha agr usa abhi sa ya sub mehsos hone lag gaya tu ye achi baat nhi. 

 Nasir na pory itminan aur khamoshi sa Faiza ki baat sune  aur muskuraya, bs itni  si baat k liya pareshan hu, Nasir k ye jumala nikla he tha mu sa ky Faiza dil he dil m khush hone lage shyd usa lag raha tha k usa wahe jawab milega jo wo sunna chahti he, lekin afsos kabhi kabhi hamre tawuqaat bht jaldi aur bht taizi sa barhne lagti jabhi shaayd wo toot jate ha. Mere piyari Faiza kiya tum nhi janti wo larki ha aur larkio ko hamre han ese he rakhty he.
Faiza: Lekin ya tu galat he na Nasir.
Muskura ky us na itminan sa Faiza ki taraf dekha aur kaha " Dekho Faiza ya sub bht arsey sa chal raha hy, hum apne abao ajdad ki door sa chalta Araha ha, Auraat ghr pa rehna k liya ghr grehsti chalane k liya banae gae ha Mard ghr k surbara hota aur auraat k kam uski sarbarahi ma uske ghr ko chalana, Sonia na barey hoker Sarbarah nh banna wo larki ha usa tm ghr garahsti sekhao parhane likhane k faida nhi ise liya usa mujh sa ziyada tmhare dehan aur waqt ki zarorat ha aur Azhar ko mere kionke kal ko Azhar ko he mera qarobar smbhalna ha. Faiza betiya parae ghr ki hoti ha apne ghr jake apne shohar ki igazat sa jo chae kare lekin unke ma baap hone k ahsiyaat sa hamesha Azhar ko pass rakhunga take usa duniya k sath zindage guzarne k toor tarekha sekhao aur phr bara hoke wo mere jaga le sake. Dekho Faiza hum khandani log ha aur ya gaon nhi shehar yaha k mahool sa khud bi bacho aur hamre beti ko bhbachao. Tum chao usa parhao mujha aitraaz nhi lekin usa Govt school ma parhao jaha larke aur larkia alag hu, aur Quran parhna Ma sha Allah tumha buhat achey sa ata he tu Quran tum parha diya karna.

Faiza na nidamt sa sir jhukae ik ache biwi ki tarha apne miya ki baat man gae. dono ka darmiyan mazeed ziyada baat nhi hue.

Sonia ik pur kashesh bachi the, bare bare ankahin saaf rangh aur golo molo sa bachi ankhi jis ki kathae thi, Sonia itne khubsuraat aur piyare thi k usa dekhty he piyar karne k dil chae. Wo apne umer k bacho k lehaz sa kafi sehat mandi th ise liya wo apne umer k bacho sa bare lagti thi. Zehni toor pe behad taiz bachi thi wo har cheez bht jaldi smjh jate thi kam umri ma itne zahanat usa shayad khuda ne tuhfee ma diya ho. Sonia na har cheez apne waqt sa pehla seekhi chae wo chalna ho ya bolna,likhna ho ya parhna har cheez ma bht taiz thi, agr ya ese ghr ma paida hoti jaha larkio ki qadar hu ya larka hoti tu uske qabliyaat ko zara sa tarasha jata tu wo kaha sa kaha hoti lekin kehty jo Allah likhta wo he insan k haq ma behtar hota. 

 5 saal ki Sonia jo ab apne ghr walo ki baato ko aur unky matlab ko achi tarha samjhne lage thi, 5 saal ma uski qado jisamat ese hone lage the jese wo 8,10 saal ki bachi hu. Lamba qad lambe baal, barhta hua wazan jis ki waja sa uski jisamat bh barhne lage thi. Nasir ko jese lagne laga uski beti ab bari hogae, nani si masoom bachi ke demagh ma abh sa wo sub batain dalne shrow ki gae jo koi 10 12 saal bad dale jate ha take wo us cheez ko samjh sake. Nasir na faiza ko paband banaya ke wo usko abhi sa har cheez smjhae. 

Sonia sehan ma bethy apne bhai aur baki cazans k sath khelna ma masroof thi jab Nasir na Faiza ko Sonia ki janab ishara karke wo sare batain kahe. Nasir ka jaty he Faiza bh apne soch ma par gae ky wo ik choti si bachi  ko itne bare batain kese smjhae.

                      " Hath lagao tu dar jaege, bahar nikaloge tu mar jaege!                          najane kab ya jumla machlio sa hat kr betio pa agae!"

RehmatDonde viven las historias. Descúbrelo ahora