Be-Rung

8 1 0
                                    

Haste khailte zindage jab kam umeri ma be rung aur be maena kardi jae tu uska natija buhat mukhatlif hojata he. wo bachi jis ki awaz har waqt ghr ma gojhti rehti, jo muskurae har kese sa be takalufi sa baat karti thi uski wo hasi murjha gae, uski wo chehal pal ghr k ik kone tak mehdod rehgae thi.

Sehan ma khare Sonia kaly kurty ma mulawis, behad pur kashish lag rahe thi,haseen lambe baal khule wo unko kanga karne ma masroof thi, choti si larki jo sham ka waqt nahane k bad baal bana ne k liya sehan ma baal bana nae ma masroof thi. Wahe sa uske mamu k beta jo umer ma bs us sa thora he bara tha wahe sa guzar raha tha, Sonia ko dekh kar us sa baat karne ruk gaya aur us sa baat karty karty wo usa ghorne ma masroof tha sana naha k nikli th tu usna dupata nh liya tha. Sana k baal bana ne tak uska mamu k beta Ahmed bhi wahe khara raha jab tak sana apne kamre ma nhi gae. Itifaq ya hua k Nasir  na Ahmed aur Sonia ko dekh liya tha aur uska demgh ma larki larke k ik kone m baat karna khatre ki ganthe k mutradif hota ha us na Sonia sa baat nhi ki kionke amoman ab wo us sa utni baat nhi karta aur jo kehna bhi hota wo usa Faiza k zariya he kehlwata tha. Faiza tum yahe kitchen ma he masroof rehna ghr ma kiya ho raha he kiya nhi un sub p dehan na dena tm kabhi. ghusse ma kitchen ma ghuste he us na Faiza ko akela dekh kr chilana shrow kardiya. Faiza chonki aur mor ke herange sa Nasir ko dekha aur kaha kiya hua he? 
Nasir: Tum jake dekho tmhare beti bina duptta liye sehan ma kahre tumahre us Ahmed sa baato ma  masrroof he aur apne baal khol k adae dikha rahe ha.
Faiza: Nasir kese baat kar rahe ap wo bachi he, usko pata bhi nhi hoga wo Nahane gae th tu zaror baal bana ne k liya sehan m gae hoge, ap galat soch rahe ha.
Nasir: Mena jo dekha wohe bola Faiza ki tarf ungli barhate hue us na bola aenda ya sub nhi hona chaiye smjhao dono ko apne mu sa. Ya keh kar Nasir nikal gaya aur Faiza apne sar pa hath rakhe Nasir ki kahe hue lafzo pa ghor krne lage k kaise wo apne choti masoom beti k liya kiya baat kar gaya.

Sham ky waqt garden ma bethe Sonia aur Faiza akele chae pena ma masroof thy, jabhi Faiza na socha ky wo Sonia ko samjhae.
Faiza: Dekho Sonia hamesha ik baat yaad rakhna ke larkio ko Allah na buhat nazuk banya he, aur Allah na auraat ko islam k zariye buhat izzat bakshi ha warna, Islam sa pehly aurto ki koi izzat nahi hoti thi, aur unko jotti pa rakha jata tha. Faiza aksar Sonia ko deeeni malomat deti thi aur Sonia bare ghor sa sunti thi, aj bh Sonia ghor sa sun rahe thi qunka usa lag raha tha mamool ki tarha uski ami usa samjha rahe ha. Larkio ko Allah na izzat de tu larkio k farz banta ha k wo is izzat ki pas rakhe ghair mardo k samne bina duppta liye na jae na he un sa ziyada baatain ki jae.
Sonia: Ami gair mehram ya kon hote ha chae peety peety Sonia na bare masomana andaz ma apni ami sa pocha.
Faiza: Beta apke abu aur bhai k ilawa har larka apke liya na mehram he. aur ab apko is cheez k khayal rakhna he ka ap kese ghair k agey bina duppta liye bina jism ko ache sa dhanpe ap kese k agey nhi jaenge.
Sonia: Ami cazan bhi tu bhai  he un sa he baat karti ma uske ilawa tu mena kabhi kese larke sa baat nhi ki na ma kahe bahar jati hu.
Faiza: Brta apke abu na aj apko Ahmed sa baat kartey dekha unko laga ap unke sath ziyda dair tk baal banaty banaty baat kar rahe thi, ap ko esa nhi karna chaiye.
Sonia: Herange sa apni ami ki taraf dekh kar kehna lage ami Ahmed bhai tu mere bhai jese ha.
Faiza: Beti bhai jese ha bhai tu nhi na, aur ap ko apne sage bhai k samne bh ese bina duptty ka nh ana chaiye aur baal ab sa ap bathroom ma banaenge  apke abu ko acha nhi lagta ap k ese sehan ma baal bana na.
Sonia Heran pareshan apne ami ki baato sunty hue han m sar hila diya.
Faiza: acha tm chae pio ma abhi ate hu. ye keh kar wo uth kar chale gae aur Sonia wahe socho ma ghum hoge. Ghair mard, Ahmed bhai cazan sub ghair, duptta baal, batain abu najane mera bare ma esa kio sochty he ankhon sa ansu saaf kiye wo waha sa uth kar apne kamre ma chale gae. Wo din tha jis ka bad kese na Sonia ki  hasi cheekh o pukar nhi suni wo apne kamre ma rehna lage thi.

  Aurto ki izzat karna Ala zarf ke logo ka shewa ha.

RehmatWhere stories live. Discover now