Badalti zindage

12 3 0
                                    

Badalty lamho ky sath sath Sonia bhi bare aur behad khubsoraat hoti ja rahe thi, bachey tu wese bhi khubsoraat aur masoom hoty he, magr kuch bachey esa hoty ha jinko dekh dekh k dil sa duaae nikalti kionke wo bht masoom aur khubsoraat hoty.

Faiza Sonia sa bara piyar karti the, aur wo roz subha apne beti ki nazar bhi utarti thi, nasir ki na pasandage janny ka bad Faiza ko Sonia ki behad fikar hone lag gae thi. Betio k maa baap hona koi asan baat nhi hoti, aur jab maa baap ma sa koi ik is zemadari sa thora pechay hat jae tu dusrey k liya pareshaniya mazeed abrh jate ha. Sonia school k liya tayar hoke bethi nashta kar rahe thi. Subha ka 6:40 mint ho rahe thy van ane ma abhi waqt tha, Faiza Sonia k baal bana rahe thi, Sonia k baal paidaishe tor sa behad pur kashish the, Lambe ghanee kathae baal wo kese shehzadi sa kaam na thi, baal banaty banaty Faiza ko wo manzer yaad ane lag gaya tha jab uske school k dakhly pa Nasir na jo hungama kiya tha.

Tumha ya baat kio samjh nhi ate yaar wo ik larki he, Sonia wahe bethi khelna ma masroof the apne papa ki awaz sun k wo unki taraf dekhne lage thi, Sonia kam umer zaror thi lekin usa itne smjh zaror thi k us waqt kiya baat chal rahe thi. Sonia ki taraf ishara karty hue Nasir chilaya, Tmha pata tu he ky hamre haan larkio ki parhae itni zarori nahe,parhae sa acha tum usko ghar gherasti ki sare cheezain abh sa sikhao. nam ankho sa faiza na Nasir ki taraf dekha magar Nasir ma chahti hu mere beti parhe, usa wo sare chezain miley jin say hum mehrom thy. Nasir baalo ma hath pherty hue apne ghusse ko pee gaya aur apne biwi Faiza ka gaal ko piyar sa thama, Mere jaan tumjanti hu larkiya masoom hoti aur buhat asani sa logo ki baato ma ajate ma nh chahata mere bachi kese zulm ka shikar hu kese galat kamo m parh k hamre khandan k name mitti ma mila de, aur larkio ko buhat jaldi bewakoof banaya jata he mashre ma aur ya kam aqal larkia kal k ae hue larko k liya apne ma baap k mu kala kardeti ha. Me is shehar ma bachpan sa rehta ha aur ya sub mene apne ankhon sa dekha he k yaha bachio ko kis tarha dekha jata he aur mahol kis tarah bura ho raha he. Nasir ky apne chehry p lage hatho ko Faiza na apne hatho sa pakra aur bare piayr sa kaha naam ankho sa ansuio ka ik selaab behna laga, Nasir wo hamre beti ha, uski tarbiyat ki zimadari hamare ha ma apne beti ko dost ban k smjhaonge palunge, hamre bache zaheena ha kuch kar jaege, ap mujh pa aitbar karke usa parhne dai mere bs itni si guzarish ha ap sa. Nasir na muskura kar Faiza ko dekha aur uske ansu saaf kiye, bs tumhare khatir tmhare bharose ma ya moqa de raha Sonia ke parhae ka lekin mere ik shart ha isko ese school ma lagao jo daswe jamat tak subha ma hu aur larkia alag hu aur han ghr k pas he. Faiza na muskura kar sar hila k Nasir k shukriya ada kiya. Nasir mur k dukan jane laga tu ruk kar Sonia ko dekhne laga jo bare herange sa bina kese tasur ke apne baap ko dekh rahe thi, Nasir ruk kr heran hoke usa dekhne laga phr ik dum sa mur kar Faiza sa Mukhatib hua,
Ma iske dakhle ki baat krta hua dukan chala jaonga. Faizan na muskura kar Faiza ko dekh kar kaha. Faiza buhat khush hue aur Nasir ka jate he wo Sonia k pas ae aur usa god ma uthaya ab tum school jaoge.

Puu puu, Van wala bahar ake horan baja ky khara hogaya sub sa last ma wo Sonia ko pic karta tha aur, school ghr sa sirf 20 min ki doori pa he, magar Nasir na yaha bh van lagaya take ane jane ma kese bh kesm k masla na hu jaate hue sub sa last ma Sonia ko uthata aur choti ma sub sa pehla ghr phnchata tha. Faiza Sonia k school sa khush nahe thi qunka ya aik sarkari school tha, lekin Faiza na zid nahe ki school ko tabdeel karne ki qunka wo janti thi ke yaha parhne ki igazaat kese mili thi. Van ki awaz sunty he sonia na awaz di. Mama ap jaldi kare van agae Faiza ik dum chonk gae aur ansu saaf karty hue jaldi jaldi ribbion bandh kar usna chutiya bandh di. chalo jaldi sa shoes pehno ma bag le ate hu, ya keh kar wo uth ka bag lene gae aur Sonia jooty pehan kar ghr k darwaze tak gae, aur Faiza bag lety lety uska pechy gae aur usko van ma beth ta dekhne sa ankho k ujhal hone tak wo wahe khare rehti thi. Aye Allah mere beti ki hifazat karna asman ki taraf dekhty hue uske jane k bad Allah sa hamesha yahe duaa karti thi.

waqt guzarta gaya aur dekhty he dekhty Sonia k school jane ko 5 saal hogae, ik din jab wo school jane k liya tayar hoker bahar darwaze ki taraf jane lage tu Nasir us waqt kese kam sa apne kamre sa bahar nikla aur Sonia ko dekh kar Heran hogaya, Sonia na salam kiya aur wo jane lage Faiza usky peechy hamesha jane lage, Nasir bh pechy khare hoker khara hua faiza ky intizar ma. Jab Faiza wapis ae.
Nasir: Faiza ik mint mere baat suno idhr ao Nasir ki awaz ma thora ghussa jhalak raha tha, qunka amoman wo Faiza ko is lehjy ma kabhi nhi bula ta tha. uski awaz ma Faiza pareshan hoker uska pass ae
Faiza: ji boliye
Nasir: Tumha dikhae nahe deta tmhare beti kis tarha school ja rahe ha, Kapre dekhe ha? mathe pa baal ankhe phar k wo faiza ko dekh kar bolne laga.
Faiza: Kiya hogaya apko Nasir wo tu roz ese jate ha, uske school ma sub uski umer k bache ise tarha frock pehan kar jate ha, wese wo bh ja rahe, Faiza na behad normal andaz ma keha.
Nasir: Tumha shayad nazar nahe araha ky tumhare beti apne umer sa bare lagna shrow hogae usky qad uski jisamat apne umer sa ziyada ha aur uska ziyada wazan ki waja sa wo bare lagte ha behtar ha tum ab sa iske kapre abre bacho ki tarha krwao aur usa kaho scarf pehna ab sa. aur ya sub mujha dobara dhorana nahe parhe.
Faizan ne sar hila k Nasir ki baato ki hame bahre.

Sonia waqai apne umer sa ab bare lagne lage thi, wazan ziyada hone ki waja sa uski jismat uske hum umer larkio sa ziyada nazar ate thi. Sonia qad aur jisamat k ilawa zehani tor pa bh kaafi zaheen thi, wo apne class ma sub sa ache reading karti the chae wo angrezi hu ya urdu riyazi ke sawal ho ya koi nazam usko har cheez ma kamal thi, wo bachpan sa aj tak hamesha class ma awal number pa ate thi. lekin ese zahen bache ki zehanat ko tarashne ke bajae uske demagh ma wo tang nazar dale ja rahe thi jis k liya shayad wo abhi buhat choti thi.

Nasir ky kehna ka bad shayd Faiza kuch ziyada serious hogae thi, wo ab Sonia ko hr choti cheez m tookna shrow hogae thi, ghr ma bh har waqt dupatta, larko sa blkul bata nhi yaha tak ka bhai aur cazan sa baat krty hue bh usa muhtat rehna ko kaha jata, is umer ma uska dil o dmgh ma larke aur larkio ki bech k pardah is tarha sa dala gaya jis tarha sa shayad deen ma bh na ho. Yaha tak ke wo bache agr ghr k balkane ma bhi khare hojae tu us pa shak karke dant diya jata tha.

Wo muskurati phool jese bachi ab murjhane lage thi, kam umeri ma usa buhat bare bare cheezain sumjha ky uska bachpan us sa cheen liya gaya.

Har cheez apne waqt par ache lagte ha yun he kese na nae kahe thi ya baat.

RehmatDonde viven las historias. Descúbrelo ahora