Dooriyan

17 1 0
                                    

Nasir ka badalty rawaiye na Sonia ki tu mano jese zindage badal gae thi. Sonia  Behad sanjeeda hogae thi, kese cazan sa na baat na mulaqat chae wo larki bhi kio na hu usne school k bad mama k hath bathane ghr ka kam karne ma apne khelna khodne k din zaya kardiye. Sonia na kam umer ma he khana pakana, silae karhae har hunar sekh liya tha, zaheen tu wo hamesha sa thi aur uski zahanat ko uske baap na duniyae taraqi k bajae ghrelo tarkeebo ma laga diye. Ik larki ko ya subb ana chaiye lekin is k sath sath duniya hue taleem hasil karna aur jaded dour sa khud ko mutarif rakhne ka haq bhi hota he, lekin bad qismati sa Sonia ko wo haq us tarha nhi mila. 

Painting karna Sonia k pasand deda mashghala wo apne dil k jhazbaato ko paintaing k ander utar ti thi. us na ik kitaab banae jis ma us na apne bachpan sa ab tk ki zindage ki dastan ko mukhtalif paintings ma bana k apne ghr ma mahfooz rakhe. Har koi us ki painting k madah zaror hota he magr wo usky ander k chupe jazbaat ko smjh nhi pata tha, aur Sonia bhi yahe chahti thi k koi usa na smjhe. Us ne aik choti si kitab bana rakhe thi jis ma usna apne choti se family ko mehfoz rakha tha, us kitab k har badalty panny ma Sonia door jate nazar ate ha.

Subha 12 baje computer p bethe taizi sa website ko search karne m masroof, chehry pa paisne liye wo bht pareshan thi Daswe jamat k natija elan hogaya tha ab usa apna natija dekhna tha Faiza uska pechy khare usa hosla dene ma masroof thi. Kuch nhi hoga pareshan mat hu pass hojaoge, SOnia na mur ke apne ami ko dekha, Ami mena itni mehnat sirf pass hone k liya nhi ki thi. Ya keh kar wo dubara screen ki taraf mutawaja hogae thi, nakhun chabate chabate usna apna enrollment number likha aur apne natija dekhna k liya button dabaya. Website bht sust raftari sa chal raha tha qunke us waqt kafi log ik sath apna antija dekhna ma masroof thy. 

Nasir kal Sonia k result he, agr wo achey numbero sa pass hue tu usay agey parhne dena tmhare  mehrbani hoge usa bht shoq ha wo bht mehnat sa parhti ae ha aur hamesha us na achey number liya. Nasir na barey piayr sa dekha Faiza ko Nasir faiza  sa behad piyar karta tha isliye wo uski baato ko kabhi na taalta na bura manta aur agr kabhi ghussa karta bhi tu wo bad ma usa khud manata. Mene kabhi tmahre koi baat talle ha? parhna ha parhe lkn mere shart wahe ha k girls college van sa ae van sa jae aur ghr ka pass he college tution le jo bh lena ho. Faiza na muskuraker dekha aaj tak usna kabh hame neraash kiya h jo ab karege usko apna maqam aur kis sa kis traha kitne fasle sa baat karne ha wo bht achey sa janti ha itne saalo ma tum na shayad usko baghor nh dekha jab dekhoge tu janoge.

Natija k waqt Faiza ko dil ma ayhe fikar thi k iske number achey he ae warna Nasir isa parhne nhi denge. Screen khula aur dono chonk gae aur chonk ko ik dusrey ko mu p hath rakh kar dekhne lage. Faiza ki ankho ma ansu ane lage thi aur Sonia apne ami ko lipat k rone lage thi, ansu k selaab behna laga tha, ya khushio k ansu thy kionke Sonia na apne imtihan ma awal number hasil kiya tha porey Karachi ma uske number 850 ma sa 849 the aur usa khud yaqeen nhi araha tha ye kiya hogaya. Faiza na piyar sa uska matha chuma. Nasir bh inke cheekhna ki awaz sa kamre ma dakhil hua, kiya hua sub kheriyaat he? Faiza aur Sonia na foran duppta sir liya Sonia ansu saaf karne lage thi tu Faiza na agey barh kar bola Mubarak ho apki beti na porey karachi ma top kiya he. Nasir muskuraya Sonia k sar pa hath rakh kar kaha Ma Sha Allah Mubarak ho ya keh kar wo kamre sa nikal gaya, Sonia ko herange nhi thi qunke har natija p unka yahe rawiya tha, magr aj uske dil ko shadeed dukh hua kionke ya aam natija nhi tha ya zindage k safar ki pehli seeri k kamiyab natija tha bajae uspa fakhar kr ke khush manae magr har bar ki tarha ya natija bh be rukhi sa manaya gaya.  Faiza tum fikar nahi karo aj ma tmhare pasandeda kheer banaonge Sonia na muskura kar apne ami ko dekha aur hami ma sar  hila diya.

Nasir na Sonia k result k bad usa agey parhne ki igazat dedi Sonia ki kamiyabian aur uska sanjeeda rawaiya usko uske baap k kareeb karne ma kese had tak kamiyab hogaya tha, magr ik galat fehmi ki waja sa wo phr door gae. Sonia ma ik adat bht purani thi jo kabhi badal na sake, wo jab bh kese sa baat karne beth thi tu wo agley bande k tango k pass beth ti thi. Ahmed fail hone ki waja sa pechy hogaya tha ab wo aur Sonia ik he jamat ky the ise waja sa unka darmiyan baat cheet hojate thi parhae k hawale sa. 

Coaching ma bh wo aksar larko sa fasla rakhti thi aur class ma larkey agey aur larkia pechy beth thi thee agr kabh wo late ate tu tu wo class na lena  ziyada behter smjhti thi bajae larko k bech ma sa guzarna, larkio sa dosti tu usna rakhi nhi kabhi bs salam duaa ki had tk wo bh class ma baat hojate thi tu is liya parhae ma agr kese cheez ki help ki need hoti  tu uska pass koi aur dusra rasta nae hota siwae Ahmed ki madad ky kionke na uska pass mobile hota na wo kese k ghr jate thi aur koi dost nh tha tu ghr ane jane wale koi kahani he ni thi. Ahmed ik bar parchuka tha  barhwee jamat tu usay thora bht pata hota cheezo ka ise liya wo uski madad leti thi.

Nasir seeriya charta hua uper araha tha. Sonia Ahmed sa baat karne ma lage thi Ahmed laita mobile pa game khelty khelty us sa baat kar raha tha aur Sonia uske pairo k pas beth us sa baat karne ma masroof thi, Ahmed hamesha parhae k bad yaha waha ki batain karta tha aur Sonia sun leti thi, lekin hamesha Sonia apne abu k ane k time s pehly he apne kamre m chale jate thi magr aj usa sunae nh diya ahmed uth k khara hua kese kam sa aur sonia wahe tango k pass bethe thi Nasir uper char raha th tu uski nazar Ahmed aur Sonia p is tarha pare thi k usa Ahmed k pusht nazar aya aur Sonia ko us na wese pechan liya tha. Ya dekh kar Nasir ko ghussa aya aur us na Ahmed ko zor sa awaz lagae Ahmed ab tk ghr nhi gae tum wo choonkkar mura aur Sonia bh chonk kar khare hue, Ahmed buhat dair hogae apne ghr jao aur dubara ma tumha bewaja yaha is tarha parha nh dekho smjh ae? bahar ki tarf hath barha k usna ahmed ko ishara kiya mathe pa baal liye ankhe surkh Nasir ko itne ghusse ma  Sonia na kabhi nh dekha. Ahmed ky jate he NAsir apne kamre ma chala gaya binae Sonia sa nazar milae.

kamre ma ate he us na ghusse sa apne gari mobile rakhe aur  baalo ma ghuse sa hath pehr k wo bed pa betha aur us na bad ko pakara ghusse sa, Faiza bathroom sa naha k he nikli thi kiya hua he? Nasir ap itne ghusse ma sub kheriyat h kese na kuch kiya?  pareshani ki alam ma Faiza na ik par ik sawalat poche! ANsir uth k khara hua aur usna wo pora manzer Faiza ko bataya jo us na dekha, Faiza chup hue wo janti thi k is waqt NAsir ko smjhana bekar ha,us na Nasir ko pani diya aur kaha thora Aram karle aap ma baat karunge us sa. Nasir na lait kar ankho p hath rakh kar kaha behtar he khud he smjha dena.

raat k 3 baj rahe thy jab Nasir ki ankh khule  Faiza jag kar dewaro ko ghorne ma masroof thi, Nasir k ahat sa wo ik dum chonki ap kuch chaiye? bataiye ma lati hu. Nasir nh nh mere tu ese ankh khuli wo uth ke betha par tum q jag rahe ho wo bhi is waqt sub kheriyat he? Faiza na Nasir ki janib dekha aur kaha Nasir dekho betiyo pa  kabhi tuhmat nhi lagate chae wo apne hu ya kese aur ke tum na dekha zarori nhi wo wesa hu aur tum na bina soche smjhe hangama kiya, tumha ghussa karne ki bajae  kamre ma jake dekhna chaiye tha agr kuch galat ho raha hota tu tmhara ya rade amal sahe hota. Nasir khamoshi sa sun raha tha, Sonia ko esa kuch karna hota tu wo kab ka karti hamre beti behad sanjeeda mizaj ki ha wo duniya ki har ghalazt sa door ha usko apna maqam achey sa pata he aur wo cha k be kabhi esa nhi kar sakti jis sa hame sharmindage hu. Nasir na nidamat sa sar jhukaya aur kaha tum sahe keh rahe hu ma shayad ziyada bol gaya. Faiza:ap pareshan na ho koi baat nh Nasir k hath pakar k usna piyar sa kaha aur dono sogae.

Sonia apne coaching k kam karne ma masroof thi, aur Faiza silae ma silae k doran Faiza na Nasir ki sare baat batae kal ki us na un dono ko dekh kar kiya socha aur phr bad ma uske samjhane k bad usa kiya ahsas hua. Sonia ko uska baap ki is baat na tor diya k uske baap ko uski kirdar p he bharosa nh ya baat uska liya na qabale bardasht thi us na Faiza sa kaha ma abhi ate hu aur ya keh kar wo apne kamre ma jake khooob roe.

   Insan jab toot jata he jab wo apne kese chahne walo ki nigah ma khud ko  qasoor war pae

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Apr 13, 2020 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

RehmatWhere stories live. Discover now