Rab Se Bhi Zyada ✨

1.1K 340 142
                                    

Aisa kabhi nahi hua hai jab maine naina pe bharosa na kiya ho...jab us time bhi tune kaha tha ki naina ka kisi ke saath affair hai tab bhi maine woh baat kabhi nahi maani...aur na kabhi manuga kyu ki mein janta hoon naina
mujhe kabhi dhoka nahin dengi
bhale hi use mujhpe trust na ho lekin muje uspe
Rab Se Bhi Zyada Bharosa Hain...
Sameer spoke with a light smile his eye welling
up In tear of pain loneliness

Haan, galti meri bhi thi miscarriage hone ke baad main Itna guilt me rehta tha ki naina se nazre milane main bhi mujhe sharam aati thi...hum ne kahin dino tak baat bhi
nahin ki hain us incident ke baad
kyu ki mujhe lagta tha ki meri wajah se...humara baby mar gaya
muje kya pata ki use maarne wala khud uske Chachu hain...In sabki wajah se hi humare bich dooriyaan badhi...fir galat fehmiya aur aakhir main hum alag ho hi gaye Paanch saal ke liye...woh keemti saal...jahan naina ko mere pyar ki sab se zyada zarurat thi, jab woh akeli thi...uska koi saathi nahin tha...pata nahi kaise usne sab kuch akele survive kiya hoga main toh hota toh shayad marr hi jaata...kyuki me naina jitna strong nahi hoon, use ladna aata hai mujhe nahin...use dard
sehna aata hai...taklif sehni
aati hai...lekin main nahi kar sakta
jab yeh mujhe chod ke gayi thi tab kasam se keh raha hu...main marne hi wala tha kyuki meri jeene ki wajah hi mujhe chod kar chali gayi thi...lekin
fir mujhe preeti ka khayal hain maine socha ki bechari uski kya galti hain...agar aaj maine khud ko kuch bhi kar liya toh jo usko sambhalne ki zimmedari maine li hain uska kya honga...maine toh waada kiya haina mummy papa se ki apni aakhri saans tak meri behen ki dekh baal karuga...fir aaj yeh Khudkhushi kar ke
main kaise use Anaath kar doon
Isliye maine har roz zeher ke aansu ghut ke pee kar bhi khud ko zinda rakha...sirf Preeti ke liye
He added further In wet
eye, his voice becoming heavy

Sameer couldn't think his life without naina...he
Isn't strong as much as she is, she can tolerate pain...can bear any misery but he can't, because he is so weak hearted person...he can shower people with unconditional love but cannot ever think of spending his rest
of the life without their presence
He groan every sec for her...every time pray to God to give him
his love...his reason to survive...♡

Maine toh usi raat naina ki baat pe believe kar diya tha jab usne kaha tha...ki tune
use mere khilaaf provoke kiya tha
tune use cabin main bitha kar sari mang ghanat kahaniya banayi aur use bhadka diya...tere jaise
bhai toh na hi ho wahi acha hain
Koi dushman bhi aisa nahi karta jo tune mere saath...meri naina ke saath...aur humare baby ko saath kiya hain, Dua karuga ki tujhe aisi saza mile ki tu kisi bhi
janam me Itni nich harqat na kare
Sameer spoke looking at naina with trust filling up In his eye, she
feel shame on
her own for disbelieving him...💔

Us raat tumne bahut sharab pee rakhi thi...mujhe nahi pata tha kis liye, Subah jab main uth kar niche aayi tab dekha ki tum
table pe apna sir rakh ke soye ho
At the same time tumhara phone baja...unknown number tha maine uthaya toh woh aawaz
kisi aur ki nahi balki Rishina ki thi
usne mujhe kaha tha ki mera pati mujhe dhoka de raha hai...mere feeling ke saath khel raha hai par do you know...mein
tum par blind trust karti thi rohan
maine rishina ko challenge kiya tha ki tum aisa mere saath kabhi nahi kar sakte ho...you really love me...but mujhe kya pata tha ki na muje na rishina ko
tum toh Naina se pyaar karte ho
Itna bada dhoka rohan...maine kya bigada tha tumhara, tumse Sache dil se mohabbath ki thi maine...humara bacha
pal raha hai mere kokh ke andar kya kahugi use ke tumhare papa ne tumhari mummy ke saath kya kiya hain?? Unhone kaise aapki mummy ka dil toda unhe dard diya, unke dil ko chot
pahuchayi batao...yeh sab kahu??
Bhai ke khilaaf main aaj tak kabhi nahin gayi...lekin tumse shadi kar ne ke liye maine unse jhagda kiya hafto tak baat nahi ki...unhe dhamki di ki agar meri shadi tum se nahi karayege woh
toh main ghar chod ke chali jaugi
Socha tumne us time unke dil pe kya beeti hogi...jis Insaan ne humesha mera acha chaha hain mere liye har chiz Perfect ki hai maine use hi tumhare khatir Itna dukh diya...unhe hurt kiya...lekin yeh sab karne ke baad bhi mujhe kya mila hain...sirf Dhoka woh bhi chota nahi itna bada...kaise kar liya teen saal tak jhute
pyaar ka dikhawa tumne rohan kaash mujhe bhi tumhari tarah natak karna aata
toh aaj Itna dard toh nahi hota 💔
Preeti clutch the collar of his palm In her grasp, the redness In her eye Is the evident that
how much had she cried for him

𝗔𝗱𝗵𝘂𝗿𝗶 𝗭𝗶𝗻𝗱𝗮𝗴𝗶 𝗞𝗶 𝗗𝗮𝘀𝘁𝗮𝗮𝗻जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें