Continue from the last part ......
Bela: Par papa woh bachi uska toh ab koi nhi hai ish duniya mein, uski family ne toh usko chhor diya aur uski maa ne toh duniya hi chhor diya
Ronit: Don't worry bacha, hum abhi yeh saari baatein police ko batayenge aur unhe itne asaani se toh nahi chhorenge
Bela: Haa papa un logon ko nhi chhorenge. How can someone be so ruthless, so rude ? Us insaan ko apne patni se bhi koi matlab nhi tha aur ab jo woh marr gayi usey dekhne tak nhi aaye aur unki beti, beti ka toh chehra bhi nahi dekha. Woh bachi toh uska hi khoon hai na. How can he leave her ?
Mene usey kaha bhi tha ki hum DNA test karwa sakte hai par nhi un logo ko toh sirf beta hi chahiye. Infact papa, Manisha ne bataya ki unlogo baby ka gender pata lagane ka bhi test karwaya thaRonit: Yeh toh ek strong saboot milgaya humey unke khilaap and relax bacha, abhi humlog police ko sab kuch inform krenge, aise insaano ki jagah jail mein hi hai, mai abhi aaya police ko inform karke
Bela: I swear papa un logon chhorungi nhi
Ronit then informed all these happenings to the police and after sometime police brought Manisha's family to the police station, Bela and Ronit also reached there
Manisha's husband: Yeh sab kya hai, hamey yeha par kyu laya gaya aur bhi ese jabar jasti
Bela: Puch rahe ho ki tumhe yeha kyu laya gaya jabar jasti, apne aap se puch tuney kya kiya hai. Apni beti ko chor kr chala gaya, tumhari patni mar gayi tumhe koi afsoos bhi nhi. Kese insaan ho tum
M.H.: Acha ab samajh aaya itni choti si baat ke liye mjhe police station laaya gaya hai
Bela: Tumhe yeh baat choti si baat lagti hai.
Manisha's MIL: Aur nhi to kya hamey iske ke liye yaha par utha kar laaya gaya hai aur tu kon hoti hai humey yeh sab bolne waali apna kaam dekho tum
Bela fumed in anger
Bela: Aap ko mai kya hi bolu, aap ko to aap bolne me hi mujhe sharam aa rahi hai, beti ho ya beta hota toh apna hi khoon aur aap bhi toh kisiki beti hai
Manisha's MIL: Badi aayi humey sikhaane waali chup chap reh. Beti kya karti hai, woh bas ghar ka bojh hoti hai. Beta hota hai jo hame sab kuch deta hai, hamey paisa deta hai aur beti ka kya woh to sirf leti hai paisa
M.H: Aur nahi to kya, beti bas bojh hoti hai aur kuch nhi .
Bela slapped him hard and said
Bela: Chup karo bas bhut ho gaya tum dono maa bete ka, ek toh tumne pehle illegally yeh pata lagane ki koshish ki baby ka gender kya hai aur yaha par police station me aakar chilla rahe ho, jara si sharam nhi hai na tumlogon mein. Yaa toh tum apni beti ko accept karo ya jail mein hi raho
M.H: How dare you to slap me ? Aur mai nhi krunga us manhoos ko accept, jo karna hai karo
Police came and also slapped him and took him and his family to the jail .
Bela sighed and Bela went back to the hospital with Ronit
Nurse: Ma'am ish bacchi ka kya kare, yeh bhut roh rahi hai, isey bhookh lagi hai aur maa bhi toh chahiye isey
Tears escaped from Bela's eye
Bela: Ish bacchi ka toh koi thaa hi nhi pehle aur ab to iski maa bhi isey chor kar chali gyi. Maasom si jaan ka koi nhi hai duniya mein
Nurse: Ma'am iska kya karey, orphanage le jaaye
Bela: Nhi, yeh bachi orpanage nhi rahegi. Mai ish bachi ko adopt karungi
Nurse: What ! ma'am aap kya bol rahi hai
Bela: What kya what ? Ish bachi ne kuch gunaah kiya hai kya ki yeh jhelegi dard. Mai isey bada karungi, isey pyaar se rakhungi. Koshish krungi ki ish bachi ko apney maa ki kami mehsoos na ho
Meanwhile Ronit came there
Ronit: Kya hua beta
Bela: Papa mai ish bachi ko adopt karna chahti hu, isey maa jaisa pyaar dena chahti hu
Ronit: Lekin Bela
Bela : Papa please understand, mai jaanti hu aap kya soch rahe hai, lekin papa iski kya galti hai. Isney toh apne maa ko hi kho diya. Mai iska dhyan rakhungi kyuki maine Manisha ka dard dekha hai, woh kaise apni beti ke liye roh rahi thi usney mujhpe bharosa karke bola ki uski bachi ko ek achi se jagah dede taki koi bhi dikkat na ho
Aur papa aap hi boliye kon dusre se pyaar karta hai koi nhi karta par mai karna chahti hu pyaar isey. Papa please hum isey rakh sakte hai na ? Apne paas rakhkar hum ish bachi ko ek achi parwarish denge. Aur papa pata nhi kyu jab yeh pehli baar mere goud mai aai thi tab mujhe issey ek alag sa connection hai aur woh toh akhein band karke roh rahi thi mere hathon mai akar apne akhein khole aur mujhe hi pehle dekha. Papa please ..
Ronit: I am proud of you beta . Meri beti kitni badi ho gayi hai aur kitni samajhdar ho gyi hai . Ab meri princess jo chahti hai wohi hogi. You can adopt her
Bela hugged Ronit happily
Bela: Thank u papa thank you so much, you are the best papa. I love you
Ronit: I love you too beta
Bela took baby in her arms and kissed her forehead and says
Bela: Baby I am with you, I love you. Abse mai aapko bada karungi, ek achi insaan banaungi aur koshish karungi ki aapko apni maa ki kami mehsoos na ho
All the nurses and other doctors, who were present there, smiled and praised Bela for this big step
Ronit: Hum kal saari adoption ki procedure shuru kar denge, filhal ke liye ghar chaley princess ?
Bela smiled and nodded. While going to the exit gate Bela suddenly stopped
Ronit: Kya hua Bela esey ruk kyu gyi
Bela: Papa woh..hh
Ronit smiled and said
Ronit: Samajh gaya tu kyu ruk gyi, don't worry maine ussey baat kar liya hai aur wese bhi mai hu na tere saath toh dar kyu rahi hai ha
Bela: Haa papa aap toh hai hi mere saath toh kyu darna
Ronit: Chal ab late bhi hogaya hai aur tu tak bhi gye hai chal chal
to be continue...
So here is the second part of ' Ab Tum Hi Toh Ho ' ..Hope u all will love it... don't forget to give ur reviews....
YOU ARE READING
Ab Tum Hi Toh Ho ✓
Fanfiction𝐁𝐞𝐥𝐚 𝐝𝐞𝐜𝐢𝐝𝐞𝐝 𝐭𝐨 𝐚𝐝𝐨𝐩𝐭 𝐚 𝐛𝐚𝐛𝐲 𝐛𝐞𝐜𝐚𝐮𝐬𝐞 𝐭𝐡𝐞 𝐦𝐨𝐭𝐡𝐞𝐫 𝐨𝐟 𝐛𝐚𝐛𝐲 𝐝𝐢𝐞𝐝 𝐚𝐟𝐭𝐞𝐫 𝐠𝐢𝐯𝐢𝐧𝐠 𝐛𝐢𝐫𝐭𝐡 𝐭𝐨 𝐭𝐡𝐞 𝐛𝐚𝐛𝐲 𝐚𝐧𝐝 𝐭𝐡𝐞 𝐟𝐚𝐦𝐢𝐥𝐲 𝐦𝐞𝐦𝐛𝐞𝐫𝐬 𝐫𝐞𝐟𝐮𝐬𝐞𝐝 𝐭𝐨 𝐚𝐜𝐜𝐞𝐩𝐭 𝐭𝐡𝐞 �...