Mishti and Kunal take turns to drive and rest, while Kuhu and Abir take a short nap.
They reach Champaner earlier than expected. The four of them decide not to wake everyone up so early. Kunal and Kuhu want to wait in the car. Abir and Mishti decide to go to a tapri nearby for chai. Kunal messages Meenu that they have reached. In the car,
Kunal - Kuhu, tumse kuch puchna tha.
Kuhu - Kya?
Kunal - Kya tumhe lagta hai ki agar maine company chod diya toh main apne aap kuch nahi kar sakoonga? Ki main tumhe support nahi kar paunga?
Kuhu - What? Nahi Kunal #noway. Aisa bilkul nahi hai! Mujhe tumhare ability pe doubt nahi hai. Mujhe yahi laga ki tumne itni mehnat karke company ko badaya hai toh...
Kunal - Par Kuhu, company family ka hai. Maa aur mama aur main company sambhalte hain. Bhai pichle teen mahinon se kaam kar rahe hain par mujhe nahi lagta woh continue karenge. Unko pehle se hi company chalane mein interest nahi thi aur mujhe nahi lagta woh aur maa ek saath kaam kar sakte hain. At least ab, jab bhai "everything is awesome" kehke nahi ghoom rahe hain. Mera aur maa ka kaam ke bare mein understanding acchi hai. Sach kahun toh bhai wahan rehte toh mujhe kaam kum aur un dono ko manage zyada karta padta.
Kuhu - Toh phir problem kya hai Kunal?
Kunal - Bhai chahe toh company mein continue kar sakte hain. Ketki ya Atul bhi aa sakte hain wahan kaam karne. Main to ye janna chahta hoon ki tumhe meri company chodni ki baat itni buri kyun lagi.
Kuhu - Tumhe kuch aur karna hai kya? #newventures?
Kunal (looking a little lost) - Ab sab kuch badal gaya hai Kuhu. Main Rajvansh nahi hoon...
Kuhu - Aisa kyun bol rahe ho Kunal? Sab tumse itna hi pyaar karte hain jitna karte the #thesame.
Kunal - Main hamesha maa aur bhai ke beech mediator tha. Maa controlling hain, lekin woh hum sab se, especially bhai se, bahut pyaar karti hain. Mujhe hamesha se lagta tha ki jitna bhi bhai unse ladein woh unhi se zyada pyaar karti hain. Ab toh lagta hai mera andaaz sahi tha. Main hamesha unke liye ek aisa beta banna chahta tha jispe woh barosa kar sake. Ab jab yeh pata chala hai ki main unka beta hi nahi hoon, unke liye ek reminder hoon ke unke pati ne unko dhoka diya, toh mujhe samajh mein nahi aa raha hai ki main kya karoon. Bhai ne mere liye jo kiya usse mujhe pata chal gaya hai ki main unke liye kitna important hoon, par mujhe pata nahi ki main maa ke liye kya hoon.
Kuhu - Kunal tumne dekha nahi maa kitna hurt hui thi jab tumne sabke samne bol diya ki maasi ne tumhein janam diya hai. Woh tumse bahut pyaar karti hain #lots. Par tum kaise feel kar rahe ho woh mein samajh sakti hoon #Iunderstand. Mujhe bhi kabhi kabhi lagta hai ki mumma mujhse itna pyaar kaise kar sakti hain. Main unhe kabhi hurt nahi dekh sakti. Unhone mujhe apnaya, itna pyaar diya ki main kisi aur ko unki jagah imagine bhi nahi kar sakti #impossible! Aur tumhare aur maa ke beech mujhe wahi dikhta hai.
Kunal - Exactly! Maa mere bare mein kya sochte hain woh main nahi janta par main unki jagah kisi aur ko imagine nahi kar pa raha hoon. Mujhe samajh nahi aati Kuhu ki jaise bhai keh rahe hain kaise suddenly kisi aur ko maa samajh loon? Bhai ne toh pehle se hi maasi ko apnaya hai. Mere liye toh hamesha se bhai aur maa hi sabse important hain. Aur phir unhe toh yeh baat teen mahine pehle hi pata tha, so accept karne ke liye thoda time mila unko.
Kuhu - Kya? Isiliye...
Kunal - Haan maasi ne bola ki maa ne yehi use karke unse Mishti se rishta tudvaya tha. Shayad bhai meri jagah hote toh yeh baat khushi khushi accept kar lete ki maasi unki maa hai. Par mere liye woh itna aasan nahi hai. Suddenly pata chala ki jinko maine meri life mein peripherally bhi importance nahi diya, woh meri maa hain, toh mein samajh nahi paa raha koon ki kaise behave karoon. Main maa ko hurt karna nahi chahta aur maasi ko bhi hurt nahi dekh sakta. Mujhe ye sab process karne ke liye time chahiye thi lekin jab chachi ne aaj maasi ko naukrani kaha aur tumhare kehne ke baad bhi blame kiya toh mujhse raha nahi gaya.
YOU ARE READING
Kya hum saath reh sakte hain?
FanfictionMy first attempt at fan fiction. A different take on what happens after the sleeping pills in coffee fiasco. I loved Kuhu's character growth after leap and don't quite like what I'm seeing now. Hoping Abir, Mishti, Kunal, and Kuhu will join forces s...