Abir and Mishti get their tea and walk to a tree nearby and sit down.
A - Thodi der pehle aate toh yahan pe kitne taare dekhne ko milte! Koi nahi, aaj raat dekhne ko milega (Looking at Mishti and grinning) Taare ginoge mere saath?
M (shaking her head) - Romance ke liye kya kya jagah chunte ho - chat pe, car mein aur ab aaj raat itne bachon aur Kuhu-Kunal ke samne. Wah!
A - Arre mujhe kuch toh karna padega. Maine socha tha maine ek liberated angry chorni se shaadi ki hai lekin woh toh...
M - Kya?
A - Angry chornia nahi, darpok morni nikli! Phone mein kuch bhi baat karti ho lekin paas ho toh...
M - Toh?
A - Toh 1950s ki heroine ban jati ho (starts singing in a falsetto) chod do aanchal zamana kya kahega...
M (laughing) - Idiot!
They are both quiet for a bit as they drink their tea.
Mishti is in deep thought.
A - Kya soch rahi ho Mishti?
M - Kuhu ke bare mein. Main aur Kuhu tum aur Kunal jaise nahi hain Abir. Tum dono ek dusre se bahut pyaar karte ho. Main toh Kuhu ke liye sirf woh ladki hoon jisne uske family mein aake sabka attention cheen liya. Usne kabhi accept hi nahi kiya ki main bhi usi family ka hissa hoon. Aur ab use lagta hai ki main uske sasural mein aake phir wohi kar rahi hoon.
A - Jab tumne kaha ki hamara alag rehna Kuhu-Kunal ke liye theek hoga, tum isi ki baat kar rahi thi na?
M - Haan, Kuhu ne baar baar mujhse kaha hai ki woh mere saath nahi reh sakti.
A - Aur tum? Kya tum uske saath reh sakti ho?
M - Main? I don't know Abir. Main try toh karungi lekin tumein pata hai hamare beech kafi history hai, toh shayad dono taraf se lapses honge. Bahut pehle, jab mein apni dadi ke saath thi, toh hum friends the. Ab family hain par woh ye baat manti hi nahi. Sab badal gaya jab mein badi-maa aur bade-papa ke saath rehne aayi. Jasmeet Aunty aur Kuhu ke baatein sunkar mujhe hamesha aisa ehsaas hota hai ki yeh mera apna parivaar nahi hai. Jaise main ek bhoj hoon. Tumne hi mujhe ehsaan aur pyaar ke beech ka difference bataya, lekin jab bhi Kuhu mujhse kehti hai ki "main tumhe meri family ko hurt nahi karne doongi" toh mujhe chubti hai! Nishant ke waje se woh mujhse itni naraz hai, lekin usne bhi toh tum logon ko help kiya tha. Uska kya? Divorce wali baat meri waje se sabke samne aa gayi, uske liye sorry bola tha na? Woh nahi maani! Lekin jab woh bolti hai ki usse galti se haar toot gaya ya sleeping pills coffee mein gir gaye, toh mujhe manna chahiye!
A - Haan, I mean haar toota, rishta toota... jaise mami kehti hain, "same same different different" (laughing)
M (slaps his arm) - Tum sach much ajeeb ho. Tum jante ho mera matlab woh nahi tha. Main toh sirf uska help karna chahti thi lekin maine kabhi nahi chaha ki baat aise sab ke samne aa jaye. Maine socha ki woh sabse chupa rahi hai kyunki ghar mein shaadi ho rahi hai aur akele hi deal kar rahi hai. Main uske liye pareshan thi yaar!
A - Main jaanta hoon tumne jaan bujke nahi kiya. Actually, mujhe bhi ye tabhi pata chala ki un dono ki divorce ho rahi hai. Main Kunal ki madad kar raha tha Kuhu ho manane ke liye. Shayad Kuhu ka kuch alag plan tha aur phir sabke saamne yeh baat aa gayi and it was out of her control.
M - I know. Main jab bhi uski help karne ki try karti hoon toh kuch na kuch gadbad ho jati hai. Sabke samne aisi baat aa gayi, ye meri galti thi but woh toh uske shaadi, divorce sab ke liye mujhe blame kar rahi thi! Phir bhi meri waje se aur drama na ho isiliye maine shaadi ka mandap uske saath share kiya aur jab usne pehle shaadi karne ki zid ki, woh bhi maan liya aur humari shaadi ke liye alternative doond li.
YOU ARE READING
Kya hum saath reh sakte hain?
FanfictionMy first attempt at fan fiction. A different take on what happens after the sleeping pills in coffee fiasco. I loved Kuhu's character growth after leap and don't quite like what I'm seeing now. Hoping Abir, Mishti, Kunal, and Kuhu will join forces s...