Okay does anyone remember the Os 'The Wingless Bird ' from Tales of immortal love? . Here is the poem I have added in the story with further modifications. Also this poem was selected in an online poetry contest.
Udna chahti thi wo apne pankhon ko failake, Choona chahti thi asmaan apne sir
ko uthaake .
Sapne the uske bhi zindagi jeene ke,akhir kya mila logo ko usse uski wahi zindagi cheenke.
Mat kaato pankh uske,udne do use,uski hi ye zindagi hai, jeene do use .
Tinke ke sahare jee rahi hai wo,har pal bas tukdo me bat rahi hai wo.
Pinjre mei kaid , naye khwabon ko ek ummeed se dekh rahi hai woh .
Asmaan hai khaali , use dil se bula raha , par uske toote pankho ne uske hausle ko hara diya .
Maayus si dari huyi rehti hai wo chupke , Pankho ko rakhti hai apne anchal mein samete .
Zarurat hai use ab ek sapnon ke udaan ki ,us asmaan mei khoye uske pehchaan ki.
Jodke dobara apne un toote huye pankhon ko ,udd jaaye wo chidiya gagan me todke un zanzeero ko.Udd jaaye wo chidiya us asmaan mein bun dobara un khwabon ko ...
"Its time to free yourself , its time to come out of the cage , finally its your time to fly "Hope you all like it.
Do vote and comment.lots of love
Ashi❤