"izzah tumhay kyun lagta hai mujhay tumhari galat bayani ka ahsas nahi hoga " zarak nai izzah ki ankho mein dekha tah .izzah khamosh thi
" izzah agar mere hath mein hota mein woh din hamaray past ( mazi) se nikal deta jis din ghusay me akar mein tumhay chornay wala tah . mein us par sharminda ho . mujhay ahsas hai mujhay woh sab nahi kehna chahe yeh tah . mujhay usse din ahsas huwa tah apni galti ka . please mujhay maaf kardo " zarak waqi sharminda lag raha tah
" jo insan ek bar itni himmat karlay dosri bar kehna us kay liye boht asan ho jata hai . mujhay ap se khouf anay laga hai . " izzah nai bed sheet (chadar ) ki taraf dekhtay huway kaha tah
" itni badguman ho chuki ho mujh se " zarak ka dil jaisay tota tah
" kya nahi hona chahe yeh ? ". izzah nai zarak ki ankh mein ek lamhay kay liye dekha tah . aglay he lamhay nazray churai thi .
"zarak bed se utha tah . bed kay dosray taraf aya tah . zameen par ghutno kay bal beta
"akhri bar maaf kar do izzah . " zarak nai sar jhukaya tah
" yeh ap kya kar rahay hai " izzah bed se ujhal kar utri thi
" biwi ko mana raha hu . maan kar hi nahi de rahi . " zarak nai us ki taraf dekh kar kaha tah
" ap pehle karay ho jaye . phir baat kartay hai " zarak kara huwa tah
" sorry izzah . phir nahi hoga . aisay . tum baat nahi karti khud se..sirf kere sawalo kay jawab he deti ho . woh bhi mukhtasar. mujhay acha nahi lagta . mujh se yu bad guman toh na ho " zarak waqi sharminda tah apnay kiye par
" pehle kan pakar kar sorry karay " izzah zarak kay seenay se jaa lagi thi
" jo hukam meri jaan " zarak nai izzah kay kaan pakray thay
" apnay kaan pakray " izzah nai ghusay wali shakal banatay huway kaha
" mamma ki dairy mein nai bhi pari hai . tum aurtay maan jati ho pphir bhi bechare shoharo ko thakanay mein maza ata hai "izzah hansi thi
" yeh aurat kisay kaha " izzah nai zarak kay seene pe dheeray se muka diya tah .
" bhooto se mein batay nahi karta . lazmi baat hai tumse he kaha hai " zarak hansa tah
" mere bachay nahi hai . es liye mein larki hu filhal " izzah nai fakhar se kaha tah
" toh phir kya khyal hai aurat na bana du tumhay " zarak nai bebaki se kaha tah .izzah tamatar ki tarah lal huwi thi .
......🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺.....
1 haftay bad.....
" beta tum dono kahi janay ki planning kyun nahi kartay " Umar suliman nai kaha tah . jab sab ( izzah zarak benish umar ) nashte ke maiz par baitay huway thay
" kaha " zarak nai masrof andaz mein kaha woh chai kam pee raha tah aur mobile par tawajjoh zyada thi
" jaha bhe tum dono ka dil karay honeymoon kay liye " bensih nai jawab diya tah. jaisay dono pehle he mashwara kar chukay thay
" achi soch hai " zarak nai mobile maiz par rakha tah . aur pori tawajjoh se umar suliman aur benish ki baato ko sunnay laga . zarak nai sar mbhi tora agay kiya tah. izzah sharam se lal huwi thi... pagal kahi ka... izzah nai socha tah
" waisay baba ap bhi toh nahi gaye . sath chaltay hai na ." zarak nai shokhi se kaha tah
" hum budhay es umar mein ser sapatay kar angay " benish nai kaha tah
" abhi toh hum jawan hai .... hum bhi ja engay hummay bhi zindagi enjoy karnay ka pora haq hai . " umar suliman hansa tah . izzah waha se uthi thi . kitchen ki taraf gayi thi . zarak baat khatam kar kay izzah ke peche gaya tah . zarak waha aya toh izzah sink kay samnay kari muh doh rahi thi
DU LIEST GERADE
Hasad kay baad Malal ( Mukamal complete)
Romantik" Beta Zarak Suliman vild Umar Suliman ap ka nikah Izzah Naeem binti Naeem Ahmad kay sath 5 tola sona Raij ul waqt kay tay pata hai kya ap ko qubool hai ?"Zarak Izzah ki taraf dekh raha tah. izzah ka sar jhuka huwa tah . Chehray Izzah ki taraf ki ay...