izzah kitchen mein nashta tayar kar rahi thi jab zarak kitchen mein aya tah .
"baba nahi jarahay office . us kay liye nashta bana lo mein nikal raha hu bs " zarak kehte huway kitchen se nikla tah .
"mujhay apna waqt zaya karnay ka shoq nahi hai . aram se nashta kar lay " izzah nai zarak kay mobile par message kiya tah .
"araha hu biwi " zarak nai muskuratay huway message likha tah
............🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺...............
zarak kitchen mein akar table kay samnay baita . izzah nai uskay samnay chai ka cup rakha . tori dair bad nashta rakha .
"mujhay akele nashta karnay ki adat nahi hai " izzah ko laga zarak jhoot bol raha hai . woh kab umar suliman kay sath bait kar nashta karta tah . izzah ussay nazar andaz kartay huway tray mein nashta liya aur mamo kay liye le janay lagi . bahir akar ek shokh se muskurahat chehray par namudar huwi thi " pagal kahi kaa.... "
woh wapis kitchen mein ayi chai waisi kay waisi pari thi . izzah ko bura laga tah . shayad boht bura . usnay stove ( cholay) kay pass se apna mobile uthaya toh dekha " husband message " likha huwa tah . izzah nai message khola .
" pehle adat thi . tumharay anay kay bad woh adat choti hai .ab se yahi meri adat hai . kuch kawonga toh tumharay sath he... warna bhook hartal hi sahi "
izzah ko ajeeb laga tah ... kya chez tah woh ...izzah muskurai thi .
agla message aya " i m sorry izzah "
izzah nai mobile rakha aur mamo kay paas akar beti thi ....mamo bahir garden mein beta huwa tah... salim kaka ko dekh rahata jo podo ko pani de raha tah ......
"kya kar rahay hai mamo " izzah nai sath wali kursi par bait tay huway kaha
"kuch nahi bs yaha par bait kar acha lagta hai . hoor ko pholo se boht zyada muhabbat thi" hoor ab bhi kahi na kahi umar suliman mai zinda thi
"mamo ek baat pocho "
"pocho beta tumhay ijazat mangnay ki koi zarorat nahi "
"mamo hoor momani zindagi mein sab se zyada muhabbat kis se karti thi "
"apnay maa baap kay bad shayad mujh se . ya shayad un se bhi zyada mujh se . agar uncle aunty martay hoor sambhal jati .. mein marta toh woh bhi mere sath dafan hojati "umar suliman kay lehje mein maan bol raha tah
"ap kay bad kis se "
" urooj se shayad " umar suliman muskuraya tah
"us kay bad " izzah nai phir pocha tah
"apni behan se " umar suliman nai karb se ankhay bhenchi thi
" mamo ap momani se muhabbat kartay thay ya ishq " izzah ajj jaisay kuch kured rahi thi
"pasand se boht zyada .... muhabbat se zyada .. ishq se bhi kuch zyada ... shayad junoon "
"in mein kya farq hai mamo" izzah nai dil chaspi se pocha tah
"pasand .. ek waqti jazba hai . pasand badalti hai ... waqt kay sath . ma'asray kay taqazo kay sath.... muhabbat pasand se agay hai . ap ko agar kisi se muhabbat ho toh milan ki khwaish hogi . ap ko khushi hogi milan se . ap ko milan ka shoq hoga .. uskay bad ishq ata hai .. ap ko jis se ishq ho ap unko tahjud mein mangtay hai . sajdo mein mangtay hai . ap ki talab mein shedat hoti hai . aur agar na milay ... yeh soch ap ko khush honay hi nahi hoti . ap mein ek khila peda ho jati hai . jo us insan ko panay kay bad he kuch bhar jaye gi ..... lekin woh khila mukamal kabhi bhi nahi bharti ... kyun kay ishq e majazii ap mein khila peda karti hai ...."umar suliman nai izzah ki taraf dekha tah
ESTÁS LEYENDO
Hasad kay baad Malal ( Mukamal complete)
Romance" Beta Zarak Suliman vild Umar Suliman ap ka nikah Izzah Naeem binti Naeem Ahmad kay sath 5 tola sona Raij ul waqt kay tay pata hai kya ap ko qubool hai ?"Zarak Izzah ki taraf dekh raha tah. izzah ka sar jhuka huwa tah . Chehray Izzah ki taraf ki ay...