Hasrat (حسرت) transl. Wish, Desire "𝘒𝘪𝘺𝘢 𝘮𝘦𝘳𝘪 𝘧𝘦𝘦𝘭𝘪𝘯𝘨𝘴 𝘵𝘶𝘮𝘩𝘢𝘳𝘢𝘺 𝘭𝘪𝘺𝘦 𝘬𝘰𝘪 𝘮𝘢𝘦𝘦𝘯𝘢𝘺 𝘯𝘢𝘩𝘪 𝘳𝘢𝘬𝘩𝘵𝘪?" "𝘕𝘢𝘩𝘪." "𝘑𝘩𝘰𝘰𝘵." Zaviyaar Malik, pachees saal, ka itne saal baad Islamabad ka chakkar lagana sirf uski majboori thi. Lekin itne saal baad apni princess ki sunehri bhoori aankhein dekh kar najaanay kioun uska dil lamhay bharr ko dharakna hee bhool gaya tha. Inara Ahmed, taees saal, apni cousin ki shaadi ki tayyarioun ke liye woh akeli Islamabad ayi thi. Aakhir kiya ghalat hosakta tha? Yeh sawal uski ghalat fehmi bann gaya jab uski sunehri bhoori aankhein Devil ki zamrud si harri aankhoun se takrayein thein. Ab muhabbat ki thi toh aazmaish bhi sehni thi. Lekin apni muhabbat ko aazmaish mein dekhne se zayada asaan ussay uski nafrat sehna laga tha. Tabhi apni muhabbat ko paana eik hasrat rakhna asaan laga tha. ───────────── written in 𝙧𝙤𝙢𝙖𝙣 𝙪𝙧𝙙𝙪. Islamabad se Karachi duology - part two. [can be read as a standalone]