Suddenly a man comes and stop everything. Man goes to stage and falls in Bondita's feet
Bondita- arey yeh aap kya kar rahe hai,uthiye...aap mujhse umar mein itne bade hai, aap uth jaiye ( she picks him up)
Man folds (jodna) his hand - Mujhe maaf kar do beta, mere bete ne tumhare saath jo kiya
Bondita- nahi nahi pehle toh aap apne haath niche kariye aur aap mujhse maafi kyu mang rahe hai aur kon aapka beta aap hai kon
Man- Mera naam Mohan Raichand hai. Main Gaurik ka pita hu. Mujhe maaf kardo beti jo mere bete ki wajah se tumhare saath hua. Tumne mujhe yeh sikha diya paison ki takat hi sab kuch nahi hota sanskar bhi jaruri hai. Tumhari wajah se ab main apne bete ko kuch sikha paunga. Ish paise ne meri aankhon par patti bandh di thi. Dhanyavad beti!
Bondita- nahi aap haath mat jodiye aur na hi maafi mangiye. Isme aapki koi galti nahi hai, galti hai toh ish paise jisne logo ko aandha kar diya hai. Koi baat nahi mujhe khushi hai ki ab aap samajh gaye hai aur ab aap apne bete ko bhi samjha denge. Meri maa kehti hai ki bado ke haath choto se maafi mangne ke liye nahi balki choto ko aashirvaad dene ke liye uthne chaiye. ( And touches his feet).
Everyone starts clapping. And they go to their classrooms.
In RC Mansion
Anirudh receives Bondita's letter. He reads it and have tears in eyes.Anirudh to himself- maaf karna mujhe Bondita main tumhara vaada bhul hi gaya tha....Lekin ab main khud ka aur sabka khayaal rakhunga. Aur haan Bondita mujhe tum par garv hai. Ab tum hamara sapna pura karke jaldi aa jao, sab tumhe bohot yaad kar rahe hai. ( He goes downstairs where everyone is having dinner, he sits on his chair and everyone is in shock😨😲)
Anirudh- kya hua aap sab mujhe aise kyu dekh rahe hai?
Batuk- dada aap toh boudi ke jaane ke baad se pehli baar kamre se bahar aaye ho,aur hamare saath khana kha rahe ho..
Anirudh- toh kya main aap sab ke saath khana nahi kha sakta
Kaka- arey nahi nahi bilkul kha sakte ho aur yeh tumhare hi toh ghar hai. Ab bahu ke jaane ke baad kuch samay ke liye toh hame ek dusre ko sambhalna hi hoga na
Anirudh- ji Kaka aap bilkul thik keh rahe hai. Maine Bondita se vaada kiya tha uske jaane ke baad main apna aur aap sab ka khayaal rakhunga. Aur haan main toh bhul hi gaya tha Som ki shaadi bhi toh karani hai
Som - kya dada aap bhi, abhi meri umar hi kya hai
Batuk- Haan dada abhi Som dada ki nahi meri umar hai vivah karne ki aap inse pehle mera vivah kara do
Som - nahi mera woh matlab nahi tha pehle mera hi karana
Anirudh- kya baat hai Som abhi toh mana kar rahe the aur ek dam hi....haan.....Haan kya baat hai
Everyone starts laughing 😂😂
There In London
At homeAnishka- aaj toh main bahut thak gayi maine bahut kaam kiya hai
Bondita- accha ji dekho toh maharani ko. Aap batane ka kasht karengi mujhe
Anishka- Haan woh woh.........aaj meri saheli ko medal mila hai toh sab ne tujhe congratulate kiya na toh ush wakt main tere saath thi
Bondita- accha thik hai chal ab soja
Thanks for reading
Please ignore my mistakes 🙏🏻
![](https://img.wattpad.com/cover/257068654-288-k1816.jpg)
YOU ARE READING
Anidita- Pride and Prejudice (On Hold)
FanfictionHii everyone! Here is a story of a married couple from 1920s. A girl who is of 8 and a boy of 18. The couple will change the society's unwanted customs and rituals. They will make a new society where everyone will be equal, where the women or girls...