Hii everyone!
Here is a story of a married couple from 1920s. A girl who is of 8 and a boy of 18.
The couple will change the society's unwanted customs and rituals. They will make a new society where everyone will be equal, where the women or girls...
Anirudh- Kaka woh maine bulaya hai Mini Ko Mini nods
Anirudh- Kaka aapko pata h m aur Mini shaadi kar rahe hai
Kaka-kya?
Anirudh- haan Kaka ab Bondita toh mujhse pyar nahi karti toh phir m usse rishta todke Mini se shaadi karunga
Kaka- yeh nahi ho sakta
Anirudh- kyu nahi ho sakta Kaka? Mini tum samjhao Kaka ko
Saudamini- Kaka aap aise mat boliye aap bataiye Anirudh ne hamesha se Bondita ka saath diya uske liye kya kuch nahi Kiya par Bondita ne kya kiya, ab Anirudh ki Kushi aap ki zimmedari h
Kaka- nahi ho sakta aise
Anirudh- maine keh diya na Kaka m sirf Mini se shaadi karunga
Kaka- thik hai phir agar tune is ladki se shaadi ki toh tujhse hamara koi rishta nahi na tu hamara beta rahega aur na hi Roy Choudhury parivaar ka varis
Anirudh- Manjur h
Saudamini- nahi kaka Anirudh
Anirudh- chalo mini hum Abhi shaadi karte h He hold her wrist and start dragging her outside of house but she stops him and pull her hand out of his grip
Saudamini- pagal ho gaye ho Anirudh aisa kaise keh sakte ho
Anirudh- Mini tum toh mujhse pyar karti ho na chalo hum kahi bhi reh lenge
Saudamini- Anirudh aise karna galat hai Kaka kya sochenge mere baare m
Anirudh- mujhe fark nahi padta Mini koi kuch bhi kahe bas hum saath rahenge
Saudamini- Anirudh tum pagal ho jo apni dolat chor k ja rahe ho mujhe tumhare paiso se matlab tha jab tumne wahi chor diye toh m tumhare saath kyu rahu
Anirudh- Mini yeh tum kya keh rahi ho? Please aisa mat kaho please Bondita ne mujhe thukra diya aur tumne bhi agar aisa Kiya toh m Kahan jaunga, please Mini aisa mat karo
Saudamini- aisa nahi h Bondita tumse pyar karti h usne mere kehne par mana Kiya maine use dhamki di thi Anirudh start laughing and suddenly Mini realise that there are more people in her surroundings. She hear sound of clapping and turns back
Bondita: mini didi aap apne hi fashaye jal m phas gayi
Saudamini- tum? Tumne kiya yeh sab aur Anirudh tum tumne is... is ladki k liye mere saath aisa Kiya apne bachpan k dost k saath
Anirudh shouts- khabardar mini tumne agar Bondita k baare m kuch kaha toh
Bondita- Inspector aap sab sun liya inhone khud apna gunah kubul Kiya hai giraftar kar lijiye And police arrest Saudamini To be continued........ Thanks for reading