Next Morning🌅
They wake up. Bondita is making coffee for Anirudh she starts thinking about what should they do and coffee is about to fell out of utensil but Anirudh turn off the gas.Anirudh- Bondita tum yeh kya kar rahi ho,kahan hai tumhara dhyan
Bondita- woh pati babu main soch rahi thi ki hame kya karna chaiye
Anirudh- Bondita yeh acchi baat hai ki tum galat Ko rokne ke liye soch rahi ho lekin iska matlab yeh toh nahi na ki jo tumhare aas pass ho raha hai tum ushe bhul jao
Bondita- ji pati babu maaf kar dijiye
Anirudh- chalo koi baat nahi ab tum jaldi se coffee lekar aao
Bondita - ji
Suddenly door bell rings
Anirudh-main dekhta hu
Anirudh opens the door......Bondita- kon hai pati babu
Anishka- main hu......hello Anirudh ji good morning
Anirudh- good morning aao na andar
They come inside
Bondita- tu.......chal baith main tere liye bhi nashta laga deti hu
Anishka- Haan jaldi kar bahut bhukh lagi hai
Bondita serves food and they are having foodAnishka- vaise Bondita tune mujhe bataya nahi ki tune Anirudh ji ko London kyun bulaya
Bondita tells everything to Anishka
Anishka- hey bhagwan tere saath itna kuch ho gya aur tu mujhe ab bta rahi hai
Bondita- koi baat nahi vaise bhi main tujhe batati toh tu meri madad hi karti na aur accha hua ki maine tujhe bataye bina hi pati babu ko yahan bula liya
Anishka- kyun agar bata deti toh kya ho jata?
Bondita- agar main tujhe bata deti toh tu pati babu ko bulane ke liye mana karti kehti ki tu khud uska sach sabke samne le aayegi aur ab dekh ek se bhale do aur do se bhale teen
Anishka- Haan Haan thik hai
Anirudh- accha yeh sab chodo aur mujhe yeh batao ki tumne Kahan dekha tha Gaurik ko un teacher ko paise dete hue
Anishka- Lekin isse kya hoga
Bondita - hey Dugga ma! Kya hoga ish ladki ka barristery kar rahi hai lekin akal nahi aayi........dekh agar kisi ko kisi se kaam karwana hai toh woh ushe paise dega lekin saare paise ek hi baar mein nahi dega aadhe kaam se pehle aur aadhe kaam ke baad samjhi kuch
Anirudh- bilkul sahi kaha Bondita ne toh ish tarah se Gaurik ne ush teacher ko kewal aadhe hi paise diye honge aur agar hume pata chal jaaye ki baaki ke aadhe paise woh kahan dene wala hai toh hum ushe range haatho pakad sakte hai
Bondita- Lekin hume woh jagah pata kaise chalegi
Anishka- yaad aaya main toh bhul hi gayi thi....... Bondita yaad hai maine tujhe kaha tha ki main apni kuch kitabe ( books) andar hi bhul gayi
Bondita- Haan toh.......
Anishka- toh yeh ki jab main apni kitabe lekar wapas aa rahi thi toh maine ush teacher ko telephone par kehte hue suna tha ki woh aaj sham 5 baje clock tower ke piche wali gali mein ushe apna kuch bacha hua saman mil jayega
Anirudh - iska matlab.......iska matlab woh aaj apna bacha hua saman yani apne bache hue paise lene jayegi wahan
Bondita- Haan pati babu ab hum ushe range haatho pakad sakte hai........ dhanyavad Anishka
YOU ARE READING
Anidita- Pride and Prejudice (On Hold)
FanfictionHii everyone! Here is a story of a married couple from 1920s. A girl who is of 8 and a boy of 18. The couple will change the society's unwanted customs and rituals. They will make a new society where everyone will be equal, where the women or girls...