tum aur tum...

82 3 0
                                    


behti hai nadiyon ki dhaara..

dekho timtim karta taara..

sunte chalo koyal ki kuhu..

saath me suno dog ki bhooh..

raaste me dekho udte dhool..

dekho kitne khile hai phool..

hai sundar ye jag saara..

kyu firta h tu maara maara..

khud ke nazariye ko badal lo ..

khush rehkar jiyo iss pal ko..

kyu rota hai tu akela baith..

chalta hai tere jab jag saath..

tujh jaise hai kai yahan..

na jaane khoye hai kahan..

jise tu dhundh raha wo tere saath h..

tu samajh le khud ko to kya baat hai..

khud k Mann me jhaank jara..

dekh to kon baitha h wahan..

jaga use jo tere andar soya h..

kuch to chehre pe chaaya h..

Jo v sakl pe hai hata Zara..

aankho me roshni h use dikha..

ye roshni hi andhera bhujayegi..

Jo soya h Mann me use jagayegi..

duniya ki tu kyu sunta h ..

jab tujhme hi jag basta h..

jab v kabhi bura lage tujhe..

to bol 'nhi farq padta mujhe'..

fir uss baat ko hasi me uda..

tere mann me 'nahi h jagah'..

tera Mann agar saccha hai..

to hamesa tu jachta hai....


love hindi poemsजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें