Palat rahe h jindagi k ek ek panne
Jaise ban rahe ho naye naye jharne
Ped se girte hai ek ek kar patte
Jaise jalate hai ek ek kar sutte
Unche unche parvat hai raah me
Chal tu paani ki talaash me
Likhna h baht kuch panne pe
Khali na chodna kisi k kehne pe
Saare page safed pade hai
Hum ek hi jagah khade h
Utha le kalam apne armaano ka
Dhak de line jindagi me taano ka
Kisi ko v apni kitaab chune na dena
Koi badal de rang itni haq na dena
Teri hi jindagi h, teri hi kitaab
Badalne ka hai tere paas hisaab
Zindagi k panno ko khali na rakhna
Tere kaam h sundar rango se bharna
Rang kar ise bana le nayi patang
Uda de ise aakash me betarang
Kabhi kisi aur ki dor se na ulajhna
Bas udte jaana, dor kutne na dena
Udd jaa befiqar apne dor k saath
Aur mila le parinde se haath