Mai intzaar kar raha tha chaand ka....
Aur doobde Suraj ki khubsurti ko bhul gya...
Mai maangta raha khuda se apne liye dua...
Aur ek din khud ko hi bhul gya....
Mai kisi ek ki sirf jhalak paane k liye...
Doston se jhuth bolna seekh gaya....
Mai samandar ki leharo ko dekhne k liye....
Bahti nadiyon ki dhaara bhul gya...
Maine banane k liye naye naye dost...
Puraane apne dosto ko bhula diya...
Har kisi ka saath paane ki koshish me...
Mai akela rehna seekh gaya...
Har kisi ki madad karne ki koshish me...
Mai madad maangna bhul gaya...
Jab seekha thoda jindagi ko jeena....
Tab tak aadhi jindagi guzar gayi...
Kuch naya aur alag seekhne ki chaah me...
Puraani choti choti itchaayein chut gayi...
Apni jindagi ko khushaal banane ki koshish me...
Jindagi dene wale maa papa ko bhul gya...
Mai apne mann ki karne ki jidd me...
Sirf dimaag ki sunne laga...
Mai paise kamaane ki junoon me...
paise ki ahmiyat ko hi bhul gaya...
Mai safalta ke peeche bhaag bhaag kar....
Beech raah me akele bhatak gaya...
Maine logon ki umeedo k liye....
Apne sapno ko hi jala diya...
Jab sapne me yaad aaya sapna...
To use sapna samajh kar bhula diya...
Har cheez ki keemat puchte puchte...
Mai hasi ki keemat v lagane laga....
Jab aanshu ko kisi ne moti bola...
To pagalo ki tarah mai hasne laga...
Main parindo ki tarah udane ki chaah me...
Unhe pinjre me apni tarah rakhne laga....