Dekh rahi hai mujhko aise jag saara
Tut kar bikhra ho jaise koi taara
Chal raha hai waqt aise
Koi train chut rhi ho jaise
Bhaag bhaag kar bhul gaya mai
Kisi samay me ek taara tha mai
Chalte chalte kho gaya kahin
lagta yahan apna koi nahin
Garmi ho ya sardi ki raat
Iss samay me kuch hai khaash baat
Dhoondne nikla tha khud ko
Samajhne laga zamaane ko
Dhool se dhak gayi thi meri chamak
Lakdi ko jaise kha gaya dimak
Jab padi baarish ki boonde mujhpar
To laga reh raha hu patthar bankar
aandhiyo k baad baarish hoti h
Har dhool ko paani jarur dhoti h
dekho mujhe nafrat se hi sahi
Toota hu par... hu mai ek taara hi...