Gaya tha main wahan waapis
Jahan meri laash rakkhi thi...
Gaya tha main wahan waapis
Jahan meri laash rakkhi thi...
Tan bejaan tha
Na chehre par muskaan thi
Band aankhon se dekh raha tha
ooper jo taaron se bhara aasmaan tha...
Chaand ki chaandni
Paas khade logo ka saayaa
Chamak Raha tha mujhpe bichaya wo kapda
Kya wo bhool gaye
ke mujhe safed rang kabhi pasand nahi aya?
Jis maayusi ke saath jiya mai
Apni saari zindagi
Wo tab bhi mere paas rakhi thi...
Gaya tha main wapis wahan jahaan meri laash rakhi thi.
Mere kaatil bhi aaye the wahan
Mere liye aansu bahaane...
Mujhe andar se to maar diya tha pehle hi
Fir aagye
Mere shareer ko aag lagaane...
Marne ke baad chalo itna to seekh hi liya
Bharosa karne layaq log asani se milte nahi
Hume to raakh hi unhi ne kiya
Jinpar humne kabhi aas rakhi thi...
Baha rahe the aansun wahan
Jahan meri laash rakkhi thi...
Mai khada raha wahan par
Dekhta raha khud ko jalte hue
Hasi aagyi
Wo maahol dekhkar
Ro rahe the sab khoon se range haath liye
Aur main...chala gaya wahan se...jahaan se...haste hue...