Bohot Kuch Suna Hai

2 0 0
                                    

Bohot kuch suna hai
Bohot kuch sununga
Kya main kabhi sach se mil paunga?

Ek geet ke baare me suna tha
Wo jo kisiko sunayi nahi deta
Magar jispe sab naachte rehte hain
Wo jiska ek bol nahi samajh aata
Magar ehsaas hote hi
rongte khade ho jaate hain
Wo hi subah us koyal ki awaz hai
Wo ek geet hi lori hai hum sab ki
Wo ek geet hi dhoori hai is jag ki
Ese ek geet ke baare me
suna hai tumne?

Ek khazaane ki bhi baat ki thi kisine
Wo jiski chaabi sabke paas hai
Magar koi taala khol nahi paata
Ek esa raaz jo kisi se chhipa nahi
Magar koi do aur do jod hi nahi paata
Koi kehta hai wo esa jawaab hai
Jo har sawaal ko jhel le
Koi kehta hai wo to sawaal hai ek
Jisme chhipa ye saara khel hai
Esa khazaana, esa raaz
sach me hota hoga kya?

Kisi kahani ki bhi suna raha tha koi
Wo jo likkhi jaa chuki hai
Magar kalam abhi bhi chal rahi hai
Wo jiska ant tay bhi hai
Magar shabd par shabd
Ek naye aakar me abhi bhi dhal rahi hai
Wo hi ek kahaani satya hai
Wo ek hi bharam hai
Wo jiske paatra bhi hum hai
Wo jiske lekhak bhi hum hai
Kya esi kahani bhi
Hoti hai kya?

Agar esa koi geet hi nahi hai to
Kyun main fir uspe naachna chaahta hu?
Agar esa koi raaz hi nahi hai to
Kyun main fir use jaan na chaahta hu?
Kahani esi hoti hogi hi na
Jo main itne man se use likhna chaahta hu?
Ya
Shayad nahi...?

Bohot kuch suna hai
Bohot kuch abhi aur sununga
Ho sakta hai sab jhoot bhi ho
Magar kabhi to sach se milunga
Kya tumhare paas kuch hai bataane ko?
Main sun raha hu

-Listless Awake

Listless Poems (Hindi)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें