Woh Baatein

383 108 163
                                    

Agle din tyaar hote wqt mere zehen m yhi baat thi ki aaj kuch bhi ho jaye, chahe halki si hi shi baat to usse hokar rhegi
Thori der ke liye hi shi mulakat toh usse hoke rhegi

"Toh school m bethe janab lunch hone ka besabri se intezaar kr rhe

Vo dosto ki bak bak , teachers ke lectures jaise ab behad pareshan se kr rhe

Pr jab asal mai baat krne ka samay aya

Toh janab nazre milane se tk bhi inkaar kr rhe
..

Joh mahashe subeh dosti krne ka than kr aye the

Vo ab baat krne m bhi hichkichahat kr rhe"

Or yeh sochte sochte lunch khtm hogya pr mera lunch nhi pura ho paya

Ab jaisa maine phle bhi kha tha pdhai m hum km dhyaan diya krte the... itna ki notes toh dur ki baat h books hi nhi khreeda krte the.
Abh agla period English ka or book hona jruri toh ma'am ne ek shaksh ko mere pass betha diya
Vo shaksh kon tha?

Arz kiya hai ki:

"Khud hi khud se baatein krte krte

Jo mulakat ka darwaza andar se hum na khol paye

Udhar takdir ka likha kuch or tha

Ki dil pe dastak dene vo humare pass khud chale aaye"

Aap smjh hi gye honge ki wo shaksh kon tha..

To be continued..

Woh Beeti Hui Nazreजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें